24 July 2013

Kahan Kisi Ki Qayamat Mein Mara Jaon Ga

Kahan Kisi Ki Qayamat Mein Mara Jaon Ga
Main Kam Shinas Murrawat Mein Mara Jaon Ga

Mujhay Bataya Huwa Hay Meri Chatti Hiss Ne
Main Apnay Ahd e Khilafat Mein Mara Jaon Ga

Mera Yeh Khoon Mery Dushmanoo k Sir Ho Ga
Main Dostoo Ki Hirasat Mein Mara Jaon Ga

Main Chup Raha To Mujhay Mar De Ga Mera Zameer
Gawahi Di To Adalat Mein Mara Jaon Ga

Faraagh Mery Liye Maut Ki Alamat Hay
Main Apni Pehli Faraghat Mein Mara Jaon Ga

Nahi Maroon Ga Kisi Jung Mein Yeh Soch Liya
Main Ab Ki Bar Muhabbat Mein Mara Jaon Ga..!!!

0 comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...