Skip to main content

Wasi Shah

Wasi Shah


Wasi Shah is young romantic poet from Punjab Pakistan. He is well known famous and most favorite of teens college girls all age of guys and all teacher professor well educated persons. He is very great and well mannered person. Wasi Shah Poetry is truely loved by Urdu readers all over the world. Wasi Shah has written so many poetry books some of them include Mere Ho Ke Raho and Malangni. Here is some collection of Wasi Shah Poetry. Read urdu poetry of Wasi Shah, urdu poetry,Wasi Shah, urdu shairy of Wasi Shah, poems of Wasi Shah, ghazals of Wasi Shah, poetry of Wasi Shah in urdu, Urdu Poetry collection of Wasi Shah, Urdu Poet Wasi Shah.





Urdu Poetry By Wasi Shah

Dayar-e-gair mein kaise Tujhe sada dete
Tu mil bhi jata to Tujhe ganwa dete

Tumhin ne hum ko sunaya na Apna dukh warna
Dua wo karte k hum Asman hila dete

Hamein ye zom raha ab k wo Pukarenge
Unhen ye zid thi k Har bar hum sada dete

Wo tera gham tha k tasir mere lahje ki
K jis ko Hal sunate use rula dete

Tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
Jo ikhtiyar bhi hota to kya Bhula dete

Tumhari yad ne koi Jawab hi na diya
Mere khayal k Ansu rahe sada dete

Samton ko main ta-umr kosta Syed
Wo kuch na kahte magar Honth to hila dete





Hum ne Kushyoon ki tarah Dukh bhi Akathey dekhe
Safha zeest ko palto ge to Yaad aaonga

Usi andaz mein hote the Mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likho ge to Yaad aaonga

Sard raatoon ke mahakte huye Sannatoon se
Jab kisi phool ko Chumo ge to Yaad aaonga

Ab to ye Ashk main aakhun se Chura leta hoon
Haath se khud inhein Poncho ge to Yaad aaonga

Shal pahnaye ga ab kon December mein tumhein
Tum siya rang Pahno ge to Yaad aaonga

Popular posts from this blog

To my dear mother