Hisab-e-Umr Ka Itna Sa Goshwara Hai Tumeh Nikaal Kar Dekha Tou Sab Khasara Hai Kisi Charaag Mein Hum Hein, Kisi Kanwal Mein Tum Kaheen Jamaal Tumhara, Kaheen Hamara Hai Woh Kia Visaal Ka Lamha Tha, Jis K Nashay Mein Tamaam Umr Ki Furqat Hame Gawara Hai Har Ik Sada Jo Hame Baazgasht Lagti Hai Na Jane Hum Hein Dobara K, Yeh Dobara Hai Woh Munkashif Meri Aankhon Mein Ho, K Jalway Mein Har Aik Husn , Kisi Husn Ka Ishara Hai Ajab Usool Hein Is Kaarobar-e-Dunya K Kisi Ka Qarz , Kisi Aur Ne Utara Hai Na Jane Kab Tha Kahan Tha, Magar Yeh Lagta Hai Yeh Waqt Pehle Bhi Hum Ne Kaheen Guzara Hai Yeh Do Kinare Tou Darya K Hogaey, Hum Tum Magar Woh Kon Hai Jo Teesra Kinara Hai..................