Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2013

Shaam Ka Manzar, Ujla Rasta, Aik Kahani Tu Aur Mein

Shaam Ka Manzar, Ujla Rasta, Aik Kahani Tu Aur Mein Dhalta Sooraj, Barhta Saya, Kashti Rani Tu Aur Mein Band Ik Kamra, Chup Ka Manzar, Bhooli Bisri, Deepak Yaad Tanhai, Dukh, Khof Ki Lazaat, Dibar Jani Tu Aur Mein Titli Khushbu, Rang Ki Baten, Shabnam Se Sharmeelay Khuwab Aas Ka Panchi, Ghum Sum Khuwahish, Raat Ki Rani Tu Aur Mein Palkein, Chilman, Sharma Sharmi,Kam Kam Goya Nazren, Qurb Raaton Jesi Seedhi Saadhi Ik Nadani Tu Aur Mein…………. -

Yeh meri kitab-e-hayat hai.

Yeh meri kitab-e-hayat hai. Isse dil ki aankh se parrh zara. Main warq warq tere samne, tere rubaru,tere pass hon. Yeh teri umeed ko kya hua? kabhi tu ne ghor nahin kiya? Kisi sham tu ne kaha toh tha, teri saans hoon teri aas hon. Yeh teri judai ka gham nahin, yeh silsilay tou hain roz ke. Teri zaat iss ka sabab nahin, kai din se yunhi udaas hon.

Wo Udaas Dhoop Simait kar

Wo Udaas Dhoop Simait kar, Kahin wadiyon mein Chal diya, Ay Mere Dil Tu na De Sada, Jo Guzar gya So Guzar gya, Ye Safar Kitna Taveel Hai, Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai, Kahan L0t Kar Koi Aae ga, Jo Guzar Gya So Guzar Gya, Wo Wafaein Thein Ya Jafaein Thein, Ye Na Soch Kis Ki Khataein Thein, Jo Tera Hai Us Ko Gale Laga, Jo Guzar Gya So Guzar Gya, Ye Duniya 1 Fareb Hai, Yaha Koi Kisi Ka Apna Nahin, Jo Hai Pas Us ko Apna Samajh, Jo Guzar Gya So Guzar Gya"

Meri neend mujh se bichar gai

Meri neend mujh se bichar gai, Mere khwab mujh se juda hue. Ye bra hi gham ka maqam hai, Zara loat aa main udas hun. Koi phot phot k ro raha hai, abhi tlak meri zaat main Mere dil main 1 kohram hai, Zara loat aa main udas hn. Tere dam se zinda hn aj bhi, Tu hi zindagi ki umeed hai. Tere bad jina haram hai, Zara loat aa main udas hun. Meri zindagi meri bandagi meri khwahishn, meri chahtein. Meri har khushi tere naam hai, Zara loat aa main udas hun,.

DIl-o-Nazar Ki Ibadatein Hon Tou Aansoun Ko Imaam Karna

DIl-o-Nazar Ki Ibadatein Hon Tou Aansoun Ko Imaam Karna Samandaron K Safar Pay Lazim Hai Paniyon Se Kalaam Karna Jo Sajda Gaahein Talaash Karne Lagay Tou Umrein Guzaar Do Gay Khud Apne Saaey Ki Saf Bichana Waheen Sajood-o-Qayaam Karna Mein Kaarwan Se Bichar Kar Andhi Musafaton K Azaab Mein Hon Mera Bhi Ay Saarban-e-Shams-o-Qamar Koi Intazaam Karna Jahan Dil Mein Jo Roshni Hai Woh Tera Hissa, Woho Tera Qissa Jo Zulmatein Hein, Malamatein Hein Woho Sab Ki Sab Mere Naam Karna Yeh Taza Lafzon K Sarey Guldastay Sookh Jaen Gay Jab Woh Aaey Tum Unki Aamad Pay Ehtiyatan Kuch Aur Bhi Intazaam Karna……..

Jo Din Guzar Gaey Hein tere Iltafaat Mein

Jo Din Guzar Gaey Hein tere Iltafaat Mein Mein Inko Jorr Loon K Ghata Doon Hayaat Mein Kuch Mein He Janta Hoon Jo Mujh Par Guzar Gaie Dunya Tou Lutf Lay Gi Mere Waaqeaat Mein Mera Tou Jurm Tazkarah Aam Hai Magar Kuch Dhajjiyan Hein Meri ZUlekha K Hath Mein Aakhir Tamaam Umr Ki Wus’at Sama Gaie Ik Lamh-e-Guzishta Ki Choti Si Baat Mein Ay Dil Zara Si Jurrat Randi Se Kaam Lay Kitne Charaag Toot Gaey Ehtiyaat Mein..

Hum Yousaf-E-zaman thay abhi KAL KI BAAT HA

Hum Yousaf-E-zaman thay abhi KAL KI BAAT HA Tum hum pe meherban thay abhi KAL KI BAAT HA Wo din b thay k hum hi tumari zaban pe thay Mozoo-e-Dastan thay abhi KAL KI BAAT HA Ae karwan-E-inqilab-O-gul tumko yaad ho Hum meer-E-karwan thay abhi KAL KI BAAT HA Jin doston ki kami ha aaJ hayat mei Wo apne darmyan thay abhi KAL KI BAAT HA Kuch haadson se gir gaye MOHSIN zameen par Hum rashk-E-Aasman thay abhi KAL KI BAT HA.!!

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech Ab to khulnay lagay maqtal bharay bazar k beech Apni poshak k chin jany pay afsoos na kar Sar salamat nahi rehtay  yahan dastar k beech Surkhiyan aman ki talqeen main masroof rahain Haroof barood ugaltay rahay akhbar k beech Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na milay Sholay ugtay nazar aaye mujhay gulzar k beech dhaltay soraj ki tamazat nay bikhar kar daikha sar kasheeda maira saya saf-e-ashjar k beech Rizq, malboos, makaaN, saans, marz, qarz, dawa Munqisem ho gaya insaan inhi afkaar k beech Daikhay jatay na thay aanso mairay jis say Mohsin Aaj hanstay howay daikha usay aghyaar k beech

Meri zindagi ki kitab tu

Meri zindagi ki kitab tu, Mery her sawal ka jawab tu, Main tumhen parhon tamam umar, Meri hayaat ka nisaab tu, Meri her dua tery liye, Meri ibadaton ka sawab tu, Main sara din tujh me magan, Meri her rat ka khawab tu, Likhu or kya me teri zaat pr, Meri zindagi meri zaat tu,meri sari kainaat tu

Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho

Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho, Kabhi aa kar mere halaat ki tasveer to dekho, Mujhe mehfil mein dekha tu kaha us ne raqeboon se, Mera aashiq, mera paagal, mera dargeer to dekho, Teri tasveer ke peeche hain jaaLay bewafayi ke, ULat kar tum zara apni, kabhi tasveer to dekho, De kar pyar ki daulat khareeday khoon ke aansu, Milli jo ishq mein, zara jaageer to dekho, Likha hai naam saahil ka shararat hai raqeboon ki, Yeh khat mera nahi jaanaa, zara tehreer to dekho..

Tera Banda, Teri Toseef-o-Sana Karta Hai

Tera Banda, Teri Toseef-o-Sana Karta Hai., Mera Har Saans Tera Shukar Ada Karta Hai...to read full SMS click on read full SMS Terey Aagay Meri jhukti Hui Paishani Say., Meri Har Suboh Ka Aghaz Hua Karta Hai.., Rizq Pohnchata Hai Pather Main Chupay huway Ko., Tu Hi Sookhi Hui Shakhon Ko Hara Karta Hai.., Geet Gati hain Baharain Teri Takhleeq Ki., Seena-E-Sang Say jaub Phool Khila Karta Hai.., Bara Nadaan Hai Tujhay Door Samajhnay wala., Tu Rag-E-Jaan Say Bhi Nazdeek Raha Karta Hai.