Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulnay lagay maqtal bharay bazar k beech
Apni poshak k chin jany pay afsoos na kar
Sar salamat nahi rehtay yahan dastar k beech
Surkhiyan aman ki talqeen main masroof rahain
Haroof barood ugaltay rahay akhbar k beech
Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na milay
Sholay ugtay nazar aaye mujhay gulzar k beech
dhaltay soraj ki tamazat nay bikhar kar daikha
sar kasheeda maira saya saf-e-ashjar k beech
Rizq, malboos, makaaN, saans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gaya insaan inhi afkaar k beech
Daikhay jatay na thay aanso mairay jis say Mohsin
Aaj hanstay howay daikha usay aghyaar k beech
Comments
Post a Comment