Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2019

Faraib kya hy?

فریب کیا ہے؟ بتاؤں تم کو؟ سنو قسم سے!  بِنا تمہارے !!!! یہ مُسکرانا... یہ سانس لینا فریبِ ہے سب...  میں جی رہا ہوں مگر نہیں ہوں میں سچ میں زندہ عجب تماشا ہے اور دکھاوا ہے  ہنس رہا ہوں مگر نہیں ہے حقیقتاً یہ...  اصل میں مر تو تبھی گیا تھا میں مجھ سے تم جب الگ ہوۓ تھے بڑی ہی مشکل گھڑی تھی مجھ پر  یہ سوچ کر کہ بنا تمہارے! یوں جیتے رہنا... تڑپتے رہنا...  ترستے رہنا... بھلا یہ جینا بھی کیا ہوا کہ؟  ہر ایک موسم ! ہر ایک رت میں... اداسیوں کا سماں بندھا ہو... لبوں پہ بندش ہو لفظ تک کی! کہ رتجگوں کو ہمیشگی ہو  میں ڈر کے مارے  لٹک کے پنکھے سے اس اذیت سے بھاگ جاتا.... مگر وہ کیا کہ..  جڑے ہیں مجھ سے کچھ اور رشتے جو میرے جینے سے جی رہے ہیں  جو میرے مرنے سے مر چلیں گے  میں اپنی ماں کا اداس چہرہ... وہ زرد آنکھوں سے! آنسوؤں کی قطار لمبی کو... سوچتے ہی سنبھل گیا تھا! اتر گیا تھا!!! گلے سے رسی اتار دی تھی... اب اپنے اندر میں لاش اپنی کا یوں تو کرتا ہوں روز ماتم .. مگر میں کاشف دکھائی دیتا ہوں اک فریبی...  سنائی دیتی ہیں مجھ کو چیخیں کہ کوئ...

Tashnaghi ankh main aur darya khayalon me in rahy

‏تشنگی آنکھوں میں ، اور دریا خیالوں میں رھے ھم نَوا گر خوش رھے ، جیسے بھی حالوں میں رھے اِس قدر دنیا کے دُکھ ، اے خُوبصُورت زندگی جس طرح تتلی کوئی ، مَکڑی کے جالوں میں‌ رھے دیکھنا اے راہ نوردِ شوق ، کُوئے یار تک کچھ نہ کچھ رنگِ حِنا ، پاؤں کے چھالوں میں رھے احمّد فراز

Khizaan Ki Rut Main Gulaab Lehja Bana Ke Rakhna Kamal Yeh Hai

Khizaan Ki Rut Main Gulaab Lehja Bana Ke Rakhna Kamal Yeh Hai Hawa Ki Zad Main Diya Jalana,Jala Ke Rakhna Kamal Yeh Hai Zara Si Larzish pe Tor dete hain sab talluq zamane walay So aesay weson se bhi talluq bana ke rakhna kamal yeh hai Kisi ko dena yeh mashwara ke, wo dukh bicharne ka bhool jaye Aur aesay lamhe main apne ansu chupa k rakhna kamal ye hai Khaual apna mizaj apna pasand apni kamal kya hai Jo yar chahay wo hal apna bana k rakhna kamal ye hai Kisi ki rah se khuda ki khatir utha k kante hata ke pathar Phr us k agay nigah apni jhuka k rakhna kamal ye hai Woh jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi larkharaye, shikast khaye Labon pe apne woh muskurahat saja k rakhna kamal ye hai Hazaar Taqaat ho, sau daleelan hon, phr bhi lehje main ajzi se, Adab ki lazzat dua ki khusbu basa k rakhna kamal yeh hai

Be hasi ki duniya main do swal mere bhi

Be hasi ki duniya main do swal mere bhi Kis tarha jiya jaye?  Kis liye jiya jaye? 

Main sochta ta

ﻣﯿﮟ ﺳﻮﭼﺘﺎ ﺗﮭﺎ ﮔﻼﺏ ﭼﮩﺮﻭﮞ ﮐﯽ ﺷﺨﺼﯿﺖ ﮐﺎ ﮨﺮ ﺍﯾﮏ ﭘﮩﻠﻮ ﮔﻼﺏ ﮨﻮ ﮔﺎ ﻣﮕﺮ ﯾﮧ ﺳﭻ ﮨﮯ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﻏﻠﻂ ﺗﮭﺎ

Mohabbatain jub shumar karna to sazishain bhi shumar karna

Ek Shakhs Ko Deakha Tha

Ek Shakhs Ko Deakha Tha Taron Ki Tarha Hamney Ek Shaks Ko Chaaha Tha Apnon Ki Tarha Hamney Ek Shaks Ko Samjha Tha Phoolon Ki Tarhaa Hamney Wo Shaks Qayamat Tha Kya Uski Karein Batain Din Us Ky Liye Paida Aur Uski He Thi Ratain Kab Milta Kisi Se Tha Ham Se Thi Mulaqatain Rang Uska Shahaabi Tha Zulfon Mein Thi Mehkarein Aankhain Thi Ke Jaadu Tha Palkain Thi K Talwarain Dushman Bi Agar Dekhein So Jaan Se Dil Harain Kuch Tum Se Wo Milta Tha Baton Mein Shahaabat Thi Han Tum Sa Hi Lagtaa Tha Shokhi Mein Sharaarat Main Lagta Bhi Tumhe Sa Tha Dastur-E-Mohabbat Main Wo Shaks Hamain Aik Din Apnon Ki Tarhaa Bhoolla Taron Ki Tarha Doobba Phoolon Ki Tarha Tootta Phir Haath Na Aaya Woh Hamney Bohat Dhoondha Tum Kis Liye Chonkey Hom Kab Zikar Tumhar Hai Kab Tum Se Takaaza Hai Kab Tum Se Shikaayat Hai Ikk Taaza Hikayat Hai Sun Lo Tou Inayat Hai Ek Shaks Ko Chaaha Tha Apnon Ki Tarha Hamney. Ek Taza Hikayat Hai Sun Lo To Inayat Hai

Gurub-e-sham hi se Khud ko yun mahasus karata hun

Gurub-e-sham hi se Khud ko yun mahasus karata hun Ki jaise ik diya hun aur hava ki zad pe rakha hun Chamakati dhup tum apane hi daman main na bhar lena Main sari rat peron ki tarah barish main bhiga hun Koi TuTa hua rishta na daman se ulajh jayai Tumhare sath pahali bar bazaron main nikala hun Yai kis avaz ka bosa mere honThon pe kanpa hai Main pichhali shab sadaon ki halavat bhul baiTha hun Bichhar ke tum se main ne bhi koi sathi nahi DhunDha Hujum-e-rahguzar main dur tak dekho akela hun

Europ Ki gulami pe raza mand howa tu

Europ Ki gulami pe raza mand howa tu Mujh ko gila tujh se hay Europ se nahi hay.

Main maqtal main bhi qismat ka sikandar nikla

Muhabbat is tarah jaise gulabi titliyon k pr

Muhabbat is tarah jaise gulabi titliyon k pr, Mohabat zindgani ki jabeen-e-naz ka jhoomr, Muhabbat arzoo ki seep ka anmol sa gohar, Mohabat aas ki dhoop me umeed ki chaadar, Mohabat hi tery gesu, teri palken, teri ankhen, Mohabat he teri baaten, Mohabat he tmhary hijar ki or wisl ki raaten, Mohabat he teri dharkan, Mohabat he teri saansen, Mohabat tmhari baat jesi he, Mohabat ko agar samjho, to tmhari zaat jesi he…!

Ay dil walo ghar se niklo, deta dawat e aam hy chand

اے دل والو گھر سے نکلو، دیتا دعوتِ عام ہے چاند شہروں شہروں، قریوں قریوں وحشت کا پیغام ہے چاند تو بھی ہرے دریچے والی، آ جا بر سر ِبام ہے چاند ہر کوئی جگ میں خود سا ڈھونڈے، تجھ بن بسے آرام ہے چاند سکھیوں سے کب سکھیاں اپنے جی کے بھید چھپاتی ہیں ہم سے نہیں تو اس سے کہہ دے، کرتا کہاں کلام ہے چاند جس جس سے اسے ربط رہا ہے اور بھی لوگ ہزاروں ہیں ایک تجھ ہی کو بے مہری کا دیتا کیوں الزام ہے چاند وہ جو تیرا داغ ِغلامی ماتھے پر لئے پھرتا ہے اس کا نام تو انشا ٹھہرا، ناحق کو بدنام ہے چاند ہم سے بھی دو باتیں کر لے کیسی بھیگی شام ہے چاند سب کچھ سن لے آپ نہ بولے، تیرا خوب نظام ہے چاند ہم اس لمبے چوڑے گھر میں شب کو تنہا ہوتے ہیں دیکھ کسی دن آ مل ہم سے، ہم کو تجھ سے کام ہے چاند اپنے تو دل کے مشرق و مغرب اس کے رخ سے منوّر ہیں بے شک تیرا روپ بھی کامل، بے شک تو بھی تمام ہے چاند تجھ کو تو ہر شام فلک پر گھٹتا بھڑتا دیکھتے ہیں اس کو دیکھ کے عید کریں گے، اپنا اور اسلام ہے چاند ابن ِانشا

Ai taayir-e-laahooti us rizq se maut achhi

Ai taayir-e-laahooti us rizq se maut achhi Jis rizq se aatee hai parvaaz meiN kotaahee Barbad gulistaan karne ko to ek hi ullu kaafi tha.  Yahan.. har shaakh pe ullu baitha hai   anjam-e-gulistan kya hoga Paani paani kar gayee mujh ko qalandar ki ye baat Tu agar maira nahiN banta na ban, apna to ban

MujhKo Yaqeen Hai Such Kehti Thien Jo Bhi Ami Kehtien Thien

MujhKo Yaqeen Hai Such Kehti Thien Jo Bhi Ami Kehtien Thien Jab Mere bachpan ke din thay chand Main parian rehtien thien. Aik yeah din jab apnoon ne bhi hum se nata torde liya Aik wo din jab pair ki shakhien bhoj humara sehtien thien. MujhKo Yaqeen Hai Such Kehti Thien Jo Bhi Ami Kehtien thien…. Aik yeah din jab sari sardkien rothi rothi lagtien hain Aik wo din jab Aao khielien sari ghalian kehti thien. MujhKo Yaqeen Hai Such Kehti Thien Jo Bhi Ami Kehtien Thien… Aik yeah din jab jagi ratien deewaroon ko takti hain Aik wo din jab Shamoon ki bhi palkien bhojal rehtien thien. MujhKo Yaqeen Hai Such Kehti Thien Jo Bhi Ami Kehtien Thien… Aik yeah din jab Lakhoon ghum aur kaal para hai aansoo ka Aik wo din jab aik zara See baat pe nadiean behtien thien. MujhKo Yaqeen Hai Such Kehti Thien Jo Bhi Ami Kehtien Thien Jab Mere bachpan ke din thay chand Main parian rehtien thien…. Share