Skip to main content

Kahin dil pe kabu hamara jo hota

Kahin dil pe kabu hamara jo hota
Kabhi zindagi mein tumhara jo hota

Khushi se bhi koi chaman chhodta hai
Koi aik kanta hamara jo hota

Na hota bharosa to kartay duaein
Wo khud de hi deta hamara jo hota

Main ghafil nahi tha teri rahguzar mein
Zara tu ne mujhko pukara jo hota

Gila ham na kartay kabhi zindagi se
Khushi ka agar ek sharara jo hota

Ghazal aisi sarwar kabhi tum na kahtay
Zamanay mein koi tumhara jo hota

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother