Skip to main content

Abhi rona hai zabt-e-ghum ka darya paar karna hai

Abhi rona hai
zabt-e-ghum ka darya paar karna hai
abi to zehn ko
teri judaee k liye tayyar karna hai
abhi to akhri lamho'n mein tum ko pyar karna hai
abhi to qarya qarya
hum ko tere pyar mein badnaam hona hai
abhi yeh kaam hona hai
lab-e-sahil kharey ho kar
zuban-e-khamshi mein janey kitni bate'n karni hain
tumhare naam sari rate'n karni hai
wo jitney din mere jeewan k baqi hain
tumharey naam karney hain
abhi kuch kaam karney hain
abhi to zakhm chahat k teri khushboo se mehke'n ge
abhi to you'n bhi hona hai
k teri jheel si ankho'n mein
mujh ko doob jana hai
abhi waqt-e-wida k akhri manzar ko
ankho'n mein basana hai
abhi to hijr k samjhotey teh honey hain
hatho'n mein tumhara haath thamey
haa'n kisi weera'n sarak pe
chandni raato'n mein kitni door jana hai
abhi to mann mein ik ehsas jagey ga
kisi k paas aney ka
kisi k door janey ka
abhi to mujh ko teri god mein sar rakh k rona hai
abhi to you'n bhi hona hai
tere daman pe girney se zara pehley
tere ashko'n ne to rukhsar ka bosa bhi lena hai
tumhe'n ik akhri khat bhi to dena hai
abhi to husn ko palko'n ki dori mein pirona hai
abhi to ishq k sarey mehel neelam karney hain
abhi ruk jao
na jao
abhi kuch kaam karney hain.
 

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother