Skip to main content

ajab ghari thi kitab keecher mein gir pari thi

ajab ghari thi
kitab keecher mein gir pari thi
chamakte lafzoon ki meli ankhoon mein uljhey ansoon bula rahe the
magar mujhe hosh hi kahaan tha
nazar mein ik or hi jahaan tha
naye naye manzaroon ki khuahish mein apne manzar se kat gaya hoon
naye naye dayaroon ki gardish mein apne mehvar se hat gaya hoon
sila, jaza, khouf, naumeedi,
umeed, imkaan, beyakini,
hazar khano me but gaya hoon
ab is se pehle k raat apni kamand dale ye chahta hoon k lout jaoon
ajab nahi wo kitab ab bhi wahein pari ho
ajab nahi aaj bhi meri rah dekhti ho
chamakte lafzoon ki meli ankhoon me uljhe ansoon
hawa o hirs o havas ki sub gard saaf kardein
ajab nahi mere lafz mujh ko maaf kardein
ajab ghari thi
kitab keecher mein gir pari thi ...

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother