Skip to main content

Sadma t0 haii mujhe Bhi k tujhSe juda huN main


Sadma t0 haii mujhe Bhi k tujhSe juda huN main
lekin ye s0chta hun k ab tera kya hun maiN

Bikhra para hai tere hi ghAr mein tera wajud
bekAr mahfil0n mein tujhe Dhundta hun main

main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
Apne badan ki qabr mein kabSe gara hun maiN

kis-kiSka nam laun Zaban par k tere sath
har r0z ek shakhs naya dekhta hun main

Na jane kiis Ada se liya tune mera nAam
duNiya samajh rahi hai k sab kuch tera hun maiN

le mere tajurbon se sabak ae mere raqiib
do chAr saAl Umr mein tujhse bara hun main

jaga Hua zamiir wo Aiina hai "Qateel"
S0ne se pahale rOz jiise dekhta hun maiN

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother