Skip to main content

Gham e dauraan ne bhi seekhe hain gham e jaana k chalan

Gham e dauraan ne bhi seekhe hain gham e jaana k chalan
wohi sochi huwi chaalein , wohi be sakhta pan

wohi iqrar mein inkar k lakhoon pehlu
wohi honton pe tabassum wohi abruu pe shikan

kis ko dekha hai k pindar e nazar k ba wasaf
ik lamhe k liye ruk gayee dil ki dharkan

kon si fasal mein is baar millay hain tujh se
k na parwa e giraibaan hai na fikr e daman

ab to chubhti hai hawa baraf k maidaanon ki
un dinon jism k ehsas se jalta tha badan

aisi sooni to kabhi sham e ghareeban bhi na thi
dil bujhe jate hain aye subha e tairgy e watan

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother