Skip to main content

kabhii Aey haqiiqat-e-muntAzir nazar a liibAs-e-majaz meiN

kabhii aey haqiiqat-e-muntAzir nazar a liibas-e-majaz mein
 k hazar0n sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaaz Mein

 Tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-g0Sh ho
 wo suRur kya k chaya hua ho sukut-e-paRda-o-saaz meiN

 tu bacha bacha k na rakh ise tera aiina hai wo aiina
 k shikaSta ho to aziiz tar hai nigah-e-Aiina-saaz mein

 dam-e-tauf kar mak-e-shsmma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
 na terii hikayat-e-soz mein na meri hadiis-e-gudaz mein

Na kahin jahan mein Aman mili j0 Aman mili to kahan mili
 mere jurm-e-khana kharab ko tere Afv-e-bana-nawaz mein

na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
 na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein

 J0 main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se aany lagi sada
 tera dil to hai sanam-aashana tujhe kya milega namaz mein

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother