Skip to main content

Meri zindagi ke chiraagh ka

Meri zindagi ke chiraagh ka,
Ye mizaaj koi naya nahi,
Kabhi roshni kabhi tareeki,
Na jala huwa na bhuja huwa,

Mujhay aap kyun na samajh sakay,
Ye apne dil se puchiyeh,
Meri dastaan e hayaat ka,
Har warq warq khula huwa,

Mujhy humsafar bhi mila koi,
Tou meri tarah hi luta huwa,
Kabhi manzilon se hata huwa,
Kabhi qafilon se luta huwa,

Mujhy ek gali mein para huwa,
Kisi bad naseeb ka khat mila,
Kahin khoon e dil se likha huwa,
Kahin ansuon se mita huwaa!!

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother