Skip to main content

zindagi se Darte ho ?

zindagi se Darte ho
 zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bi hain
 aadami se Darte ho
 aadami to tum bhi ho aadami to ham bhi hain
 aadami zuban
bhi hai, aadami bayaan bhi hai
 is se tum nahin Darte
 harf aur mani ke rishte haye aahan se aadami hai vaabasta
 aadami ke daaman se zindagi hai vaabastaa
 is se tum nahin Darte
 ankahi se Darte ho
 jo abhi ai nahin us ghadi se Darte ho
 us ghadi ke aane ki aaghi se Darte ho
 pahale bhi to guzare hain
 daur naarasaai ke, beriyaa, Khudaai ke
 phir bhii ye samajhate ho, hech aazaruumandi
 ye shab zubaan
bandii, hai rahe Khudaabandii
tum yahii samajhate ho, tum magar ye kyaa jaano
 lab agar nahin hilate haath jaag uThate hain
 haath jaag uThate hain raah kaa nishaan ban kar
 nur ki zubaan
ban kar
 haath bol uThate hain subah ki azaan
ban kar
 roshani se Darte ho
 roshani to tum bhi ho, roshani to ham bhi hain
 roshani se Darte ho
 shahar ki fasilon par
dev kaa jo saayaa thaa, paak ho gayaa aaKhir
 az_dahaam-e-afsaaN se fard kii navaa aai
 zaat ki sadaa aai
 raah-e-shauq men jaise raah_ravii Khun
lapke
 ik nayaa junuun
lapke
aadamii chhalak uThe
aadamii ha.Nse dekho, shahar phir base dekho
tum abhii se Darate ho
 haaN abhii to tum bhii ho, haaN abhii to ham bhii hai.n
tum abhii se Darate ho

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

To my dear mother