Skip to main content

Hawas nasib nazar ko kahin qarar nahi

Hawas nasib nazar ko kahin qarar nahi
main muntazir hun magar tera intazar nahi

Hamin se rang e gulistan hamin se rang e bahar
hamin ko nazm e gulistan pe ikhtiyar nahi

Abhi na cher mohabbat ke git ae mutarib
abhi hayat ka mahaul khushgawar nahi

Tumhare ahd e wafa ko ahad main kya samajhun
mujhe khud apani mohabbat ka aitabar nahi

Na jane kitane gile is may muztarib hai nadim
wo ek dil jo kisi ka gilagusar nahi

Gurez ka nahi qayal hayat se lekin
jo soz kahun to mujhe maut nagawar nahi

Ye kis maqam pe pahuncha diya zamane ne
ki ab hayat pe tera bhi ikhtiyar nahi

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother