Skip to main content

Jab bhi do ansu nikal kar rah gaye

Jab bhi do ansu nikal kar rah gaye
Dard ke unawan badal kar rah gaye
Kitani fariyaden labon par ruk gain
Kitane ashk ahon may dhal kar rah gaye
Rukh badal jata meri taqadir ka
Ap hi tewar badal kar rah gaye
Khul ke rone ki tamanna thi hamay
Ek do ansu nikal kar rah gaye
Zindagi bhar sath dena tha jinhen
Do qadam hamrah chal kar rah gaye
Tere andaz e tabassum ka fusun
Hadise pahalu badal kar rah gaye

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother