Skip to main content

Jab kabhi un ke tawajjo may kami pai gai

Jab kabhi un ke tawajjo may kami pai gai
az sar e nawa e dastan e shauq doharai gai

Bik chuke jab tere lab phir tujh ko kya shikawa agar
zindagani bada o sagar se bahalai gai

Ai gam e duniya tujhe kya ilm tere waste
kin bahanon se tabiyat rah par lai gai

Ham karen tark e wafa achcha chalo yun hi sahi
aur agar tark e wafa se bhi na ruswai gai

Kaise kaise chashm o ariz gard e gam se bujh gaye
kaise kaise paikaron ki shan e zebai gai

Dil ki dharakan may tawazzun a chala hai khair ho
meri nazaren bujh gain ya teri ranai gai

Un ka gam un ka tasawwur un ke shikawe ab kahan
ab to ye baten bhi ai dil ho gain ai gai

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother