Skip to main content

Kabhi Kabhi Dil Yeh Sochta Hai

Kabhi Kabhi Dil Yeh Sochta Hai

Na Jaane Hum Be-Yaqeen Logon Ko Naam Haider Se Rabt Kyun Hai

Hakeem Jaane Woh Kaisi Hikmat Se Aashna Tha

Shajee' Jaane Kay Badr-o-Khyber Ki Fatah Mandi Ka Raaz Kya Tha

Aleem Jaane Woh Ilm Ke Kaun Se Safeenon Ka Na Khuda Tha

Mujhy To Bas Sirf Yeh Khabar Hai

Woh Mere Maula Ki Khushbuon Mein Racha Basa Tha

Woh In Kay Daman-e-Atifat Mein Pala Barha Tha

Aur Us Kay Din Raat Mere Aaqa Ki Chashm-e-Abroo-o-Jumbish-e-Lab K Muntazir Thay

Woh Raat Ko Dushmanon Ke Narghe Mein So Raha Tha To Un Ki Khatir

Jidal Mein Sar Se Paon Talak Surkh Ho Raha Tha To Un Ki Khatir

So Us Ko Mehboob Janta Hoon

So Us Ko Maqsood Manta Hoon

Sa'adtein Us K Naam Se Hain

Mohabbaton Kay Sabhi Gharanon Ki Nisbatein Us k Naam Se Hain

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother