Skip to main content

manzar ke ird-gird bhii aur aar paar dhund

Manzar ke ird-gird bhii aur aar paar dhund
aa’ii kahaaN se aaNkh meN ye be-shumaar dhund

kaise na us kaa saaraa safar raaygaaN rahe
jis kaarvaan-e-shauq kii hai rahguzaar dhund

hai ye jo maah-o-saal kaa melaa lagaa hu’aa
kartii hai is meN chhup ke meraa intizaar dhund

aaNkheN vo bazm, jis kaa nishaaN dolte chiraagh
dil vo chaman, ke jis kaa hai rang-e-bahaar dhund

kamre meN mere Gham ke sivaa aur kuch nahiiN
khirkii se jhaaNktii hai kise baar-baar dhund

firdaus-e-gosh thehraa hai mubham saa ko’ii shor
nazaargii kaa shah’r meN hai aitbaar, dhund

naaTak meN jaise bikhre hoN kirdaar jaa-ba-jaa
“Amjad” fizaa-e-jaaN meN hai yuN be-qaraar dhund

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother