Skip to main content

Mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne

Mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne
zamane ab to Khush ho zahar ye bhi pi liya main ne

Abhi zinda hun lekin sochata rahata hun Khalwat may
ki ab tak kis tamanna ke sahare ji liya main ne

Unhen apana nahi sakata magar itana bhi kya kam hai
ki kuch muddat hasin Khwabon may kho kar ji liya main ne

Bas ab to daman e dil chor do bekar ummido
bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother