Skip to main content

Muhabbat diary hargiz nahin hai

Muhabbat diary hargiz nahin hai
Jis mein tum likho
Keh kal kis rang kay kapray pehan'nay hain
Kaun si khushboo lagani hai
Kis say kya baat kehni, aur kya baat chupaani hai
Kahaan kis pair kay saaye talay milna hai?
Mil kar poochna hai
Kya tumhein mujh say muhabbat hai
Yeh farsooda sa jumla hai
Magar phir bhi yeh jumla
Dareechon, Aanganon, Sarkon, Gali kochon mein, Chobaron mein
Chaubaron ki tooti seerhiyon main
Har jaga koi kisi say keh raha hai
Kya tumhein mujh say muhabbat hai


Muhabbat diary hargiz nahin hai
Jis mein tum likho
Tumhein kis waqt, kis jagha,
Kis say milna hai, kis ko chor jaana hai
Kahaan per kis tarha ki guftugoo karni hai ya khamoosh rehna hai
Kis ke saath kitni door tak jaaana hai aur phir kab laut aana hai
Kahaan aankhein milaana hai kahaan palkein jhukaana hain
Ya yeh likho keh ab ki baar jab woh milnay aye aga
Tu us ka haath apne haath mein lay kar
Dhanak chehray pay roshan jagmagati raqs karti uski aankhoon mein utar jeyenge
Aur phir gulshan-o-sehra ke beecho beech dil ki saltanat mein khaak uraayenge
Bohut mumkin hai woh ujlat mein aaye
Aur tum us ka haath haathon mein na le pao
Na aankhon hi mein jhaanko, aur na dil ki saltanat ko fatah kar pao
Jahan per guftugoo karni hai, tum khamosh ho jao
Jahan khamosh rehna hai, wahan tum bolte jao
Nae kapre pehan kar ghar se niklo, mailay ho jao
Koi khushboo lagane ka iraada ho, tu sheeshi haath se gir jaye
Tum weeran ho jao
Safar karne se pehle, be sar-o-saman ho jao

Muhabbat diary hargiz nahee hai, aab joo hai
Jo dilon ke darmeyan behti hai, khushboo hai
Kabhi palkon pe lehraye, Tu aankhein hansne lagti hain
Jo aankhon mein utar jaye tu
Manzar aur pas manzar mein Shamaein jalne lagti hain
Kisi bhi rang ko choo lo
Wohi dil ko gawaara hai
Kisi mitti mein ghul jaye
Wohi mitti sitaara hai
Muhabbat diary hargiz nahee hai.

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother