Skip to main content

SHARBATI KAANCH KI TOOTI HU NAAZUK CHOORI.....

SHARBATI KAANCH KI TOOTI HU NAAZUK CHOORI......

aik aanchal say bandha hai sab kuch
aik tasweer aur tasweer peh bheegay huye hont
aik sandal ki unaabi pencil
aik beyrabt ka ukhra hua khat
aik adad card
jis ko chooney say teri yaad chali aati hai
aur is card main rakhi hui akloti palak
jis say maanoos duaaon ki mahak aati hai
kisi gumnaam say shaair ka adhura misra
aik paazaib say bichra hua ujla mauti
aik murjhai hui zard chanbali ki kali
jis main ab bhi teri zulfon kay bhanwar liptay hain
aik boseeda sa question paper
jis kay konay peh likha naam abhi taaza hai
sharbati kaanch ki tooti hui naazuk choori
aik toota hua halka sa gulabi naakhun
aik gadla sa tissue paper bhi
jis peh mehkay huye ashkon kay nishaan zinda hain
yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother