Skip to main content

Ye husn tera ye ishq mera

Ye husn tera ye ishq mera
Rangin to hai badnam sahi
Mujh par to kai ilzam lage
Tujh par bhi koi ilzam sahi
Is rat ki nikhari rangat ko
Kuch aur nikhar jane de zara
Nazaron ko bahak jane de zara
Zulfon ko bikhar jane de zara
Kuch der ki hi taskin sahi
Kuch der ka hi aram sahi
Jazbat ki kaliyan chunana hai
Aur pyar ka tohfa dena hai
Logon ki nigahen kuch bhi kahen
Logon se hamay kya lena hai
Ye Khas ta`alluq apas ka

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother