Skip to main content

Ye kya ke ek jahan ko karo waqf e iztarab

Ye kya ke ek jahan ko karo waqf e iztarab
Ye kya ke ek dil ko shakeban na kar sako
Aisa na ho ye dard bane dard e lazawal
Aisa na ho ke tum bhi mudawa na kar sako
Shayad tumhen bhi chain na aye mere bagair
Shayad ye bat tum bhi gawara na kar sako
Kya jane phir sitam bhi mayassar ho na ho
Kya jane ye karam bhi karo ya na kar sako
Allah kare jahan ko meri yad bhul jaye
Allah kare ke tum kabhi aisa na kar sako
Mere siwa kisi ki na ho tum ko justaju
Mere siwa kisi ki tamanna na kar sako

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

To my dear mother