Skip to main content

Aye naye saal bata tujh mein naya fun kya hai?

Aye naye saal bata tujh mein naya fun kya hai?
Har taraf khalq ne kiyun shor macha rakha hai,
Roshni din ki wohi,
Taaron bhari rat wohi,
Aaj hum ko nazar aati hai har baat wohi,
Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen,
Aik hindse ka badalna to koi nahi,
Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere,
Kise maloom nahi 12 maheene tere,
Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein,
Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein..?
Tu naya hai to dikha subha nai, sham nai..
Warna in aankhon ne deikhe hain naye saal kayii…

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother