Skip to main content

chalo ek kaam karte hein

Chalo ek kaam karte hein
phir apnee nazm ko janam
tumhare naam karte hein
mohabbat naam hai khud ko kisi ke naam kardena
wafa kee shahrah pe zindagi kee shaam kardena
ye apne aap hee barbad aur abad hoti hai
mohabbat har tarha kee qaid se azad hotee hai
daleelen lakh dee jaein kabhi qayal naheen hatee
mohabbat ke safar mein umr bhee hayel naheen hotee
kisi be naam jazbe se kisi khwahish se hotee hai
mohabbat abr ka mausam ho to barish se hotee hai
waja koi bhi ho kaisa hi mausam ho koi rut ho
mohabbat jab hi hojai mohabbat jis se ho jai
kabhi dil lag sa jata hai kabhi wahshat si hoti hai
mohabbat jab bhi hotee hai usee shiddat se hoti hai
chalo ek nazm likhte hain
chalo ek kaam karte hai
phir apnee nazm ko janam
tumhare naam karte hain

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother