Skip to main content

Agar Bazm-e-Insan main Aurat na hoti

Agar Bazm-e-Insan main Aurat na hoti
Khayaalon ki rangeen janat na hoti

Sitaaron ke dilkash fasanay na hotay
Bahaaron ki naazuk haqeeqat na hoti

Jabeenon pe nor-e-musarrat na khilta
Nigaahon pe shan-e-muravvat na hoti

Ghataaon ki aamad ko sawan taraste
Fizaon main behki Baghawat na hoti

Fakeeron ko irfan-e-hasti na milta
Aza zahidon ko abaadat na milti

Musaafir sada manzilon pe Bhatakte
Safeenon ko Sahil ki qurbat na hoti

Har ek phool ka rang pheeka sa hota
Naseem-e-baharan main nighat na hoti
Khudai ka insaf khamosh rehta
suna hay kisi ki shafaat na hoti

by saghar sadeqi


Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother