Azaab-e-deed me aankhein lahu lahu kar k
Mein sharamsaar huwa teri justuju kar k
Suna hai shehar me zakhmi dilon ka mela hai
chaleinge hum bhi magar pairahan rafu kar k
musafat-e-shab-e-hijraan k baad bhaid khula
hawa dukhi hai charaghon ko aabru kar k
ye kis ne hum se lahu ka khiraaj phir maanga
abhi to soye thay maqtal ko surkhru kar k

Comments
Post a Comment