Skip to main content

Khuloos e sajda, sujoud anqa

Khuloos e sajda, sujoud anqa
Mohabbaton ka wujoud anqa
Woh sache jazbey mehekne wale
Khushi k panchi chehekne wale
Jo ab tu nayab hogaye hain
Andheri raaton mein kho gaye hain
Woh arzonyen dhanak mein lipte
Woh suratein chandani mein simtein
Ana parasti ki zad mein aa ker
Munafaqat k sanan k neche
Her ik lamha sisak rahe hain
Tamam sochein dehek rahe hain
So kash koi
Payam laye
Mohabbaton k salam laye
Kahin se bada o jaam laye
Koi suhani se shaam laye
Tu phir shikasta wujoud mera
Banam e chahat duam paye
Mager ye mumkin nahi hai shayad
K dour e hazir ki
Nafsanafsi mein
Moujzon ka zahor anqa
Buton ki surat mein, noor anqa

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother