Skip to main content

Palat aao K khuwaabon ki zameenon per

Palat aao...

Palat aao
K khuwaabon ki
zameenon per
Kisi duniya ka
shehzaada
Kai qirnon
Kai sadiyon say
Tumhaari yaad ki
chaaon mein betha hua hai
Isay Izn-e-huzoori do
K us ki munjamind
berfaab aankhon mein
Khushi ki tittliyaan utrein

Palat aao
K ab bhi sheher ki galiyaan
Tumhaaray paaoon ki
hiddat pay merti hein
Tumhein aawaaz dayti hein
Diye her aanay waalay say
tumhaara poochtay hein
Or Derwaazay .....
Tumhaari aahaton mein gum
Mager tum !
Dooriyo k
sheher say
bhi door
bethay ho
Jahaan
aawaaz bhi
jaanay say
derti hai

Palat aao
K ab bhi
raastay
ummeed ki
khushboo say
mehkay hein
K tunhaai .....
Hamaari rooh k
saahil pay jab bhi
been kerti hai
Tumhaara naam layti hai

Hawa jab gungunaati hai
To is k surmai honton say
Teray sung huway lamhon ki
Khushboo uraati hai

Palat aao .....
K ab
hum
devtaaon ki terhan
khaamosh
reh reh ker
Tumhaaray hijr k
aazaar seh seh ker
Bohat hi thak chukay hein
Hamein ab neend k
lambay
safer
per
lout
jaana hai
Jahaan hum nay
Zamaanay ki
nigaahon say paray
Ik or hi manzer
basaana hai

Palat aao
K ye lamhein
hamaara maas
khaanay per tulay hein
Zindagi baarood ban ker
jism-o-jaan mein dorti hai
Aankh pathraai hui hai
Haath Shal hein
Or
hum
pay
mout
si
chaai
hui hai ..... !

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother