Skip to main content

Younhe bay sabab na phira karo kisi sham ghar bhi raha karo

Younhe bay sabab na phira karo kisi sham ghar bhi raha karo
Yeh ghazal ki sachi kitab hay isay chuke chuke parha karo

Koi hath bhi na milaye ga jo galay milo gey tapaak se
yeh naye mizaj ka shehar hay zara faslay se mila karo

Abhi rah main kai morr hain koi aye ga koi jaye ga
Tumhain jisne dil se bhula diya usay bhoolnay ki dua karo

Mujhay ishtehar si lagti hain yeh muhabbat ki kahaniyaan
jo kaha nahi voh suna karo jo suna nahi voh kaha karo

Kabhi husn-e-parda nasheen bhi zara ashiqaana libas main
Jo main bun sanvar k kaheen chaloon mere sath tum bhi chala karo

Nahi bay hijab voh chand sa k nazar ka koi asar na ho
Usay garmee-e-shoq se bari dair tak na taka karo

Yeh khizaan ki zard si shaal jo udaas pairr k pass hay
yeh tumharay ghar ki bahar hay isay ansoon se hara karo

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother