Yeah hai mai-kada yahan rind hain yahan sab ka saqi imaam hai
Yeah haram nahee hahee hai aiy sheikh jee yahan parsaee haraam hai
Jo zara si pee k behak gaya usse mai-kaday se nikal do
Yahan tung nazar ka guzar nahee yahan ahl e zarf ka kaam hai
Koee must hai koee tishna lab to kissi k haath main jaam hai
Magar is ka koee karay bhi kiya yeah to mai-kaday ka nizam hai
Yeah janab e sheikh ka falsafa hai ajeeb saray jahan se
Jo whahan piyo to halal hai jo yahan piyo to haram hai
Iss kayenat main aiy jigar koee inqalab uthhay ga phir
K buland ho k bhi aadmi abhi khwahishon ka ghulam hai.

Comments
Post a Comment