Skip to main content

Marti hui zameen ko bachana para mujhy

Marti hui zameen ko bachana para mujhy
badal ki tarhan dashtt mai ana para mujhY..!

Wo kar nahi raha tha meri baat ka yaQeen..
PhiR yun hua k.. MarR k dikhana para mujhY..

Us beWafa ki yaad.. Dilata tha baar bar
Kal aaineY pe hath uthana paRa mujhY...!

BhoulaY se meRi simT koi dekhta na tha
ChahreY pe ik zakham lagana paRa mujhY..!

Us be'wafa se hath milane k waste..
Mahfill mai sabse haath.. Milana paRa mujhY..!

Yaden thi daFn aisi.. K baad-e-azz'furqat..
Us ghArr ki daikh'bhaal ko jana parRa mujhY..!

Aise bichar kar us se to marR jana tha mai ne..
Uski nazar mai khudko giRana para mujhY..!

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother