Skip to main content

Kaash main tere bun-e-gosh mein bunda hota

Kaash main tere bun-e-gosh mein bunda hota

Raat ko bekhabri mein jo machal jata main
To tere kaan se chup chaap nikal jata main

Subha ko girtey jab teri zulfon se baasi phool
Mere kho jaaney pe hota tera dil kitna malool

Tu mujhe dhoondti kis shoq se ghabrahat mein
Apney mahkey huey bistar ki, har ik silwat mein

Junhi karteen teri narm unglyaan mehsoos mujhe
Milta is gosh ka phir gosha-e-maanoos mujhe

Kaan se tu mujhe hargiz na utaara karti
Tu meri judaai kabhi na gawaara karti

Yoon teri qurbat-e-rangeen ke nashey mein madhosh
Umr bhar rehta meri jaan main tera halqa bagosh

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother