Skip to main content

Mujh ko dhoondh Leta hai nit naye Bahane se

Mujh ko dhoondh Leta hai nit naye Bahane se
Dard ho gaya waqif mere har thikaane se

Chal dia maseeha bhi dard sonp kar apne
Baaz woh nahi aata mujh ko aazmane se

Kuch kahen to ruswaai, chup rahen to sodaai
Dil nahi nikal paata aise taane baane se

Ab nazar nahi uthti us ki bazam main hum par
Hum qadar ganwa bethay roz aane jane se

Ek gham gusaar diya sath kab talak deta
Ho gayi hai khamoshi us ke doob jane se

Ek do ki baat nahi an-ginat samaite hain
Kab yeh dil sanbhalta hai ek gham bhulane se

Sar jhukaye Maazi se khud ko khojta hai koi
Or kya milega tumhen is ghareeb khane se

Bolo kya maza paaya zindagi se tum ne Khalish
Ajnabi rahe khud se, Ajnabi zamane se..

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother