guzre dinon ki yaad barasti ghata lage
guzroon jo uski gali se to thandi hawa lage
mehmaan banke aaye agar kisi roz wo shakhs
is roz bin sajaaye mera ghar sajaa lage
main isliye manaata nahin wasl ki khushi
mere raqeeb ki na mujhe bad-dua lage
wo qehat dosti ka para hai ke in dinon
jo muskura ke baat kare aashna lage
tark-e-wafa ke baad yeh uski ada qateel
mujhko sataaye koi to usko bura lage

Comments
Post a Comment