Skip to main content

Kabhi ulfat bhara lehja kabi utra huwa chehra

Kabhi ulfat bhara lehja kabi utra huwa chehra
Samajh mai kuch nahi aata bta mera gunah kya hai?

Meri uljhan mita to dey mujhe itna bta to dey,
Mai mujrim hun ya mehram hun,Saza kya hai, Jaza kya hai?

Meri sansein to chalti hain teri yaadon se ay dost,
Nahi fursat jo ye sochun fana kya hai baqa kya hai?

Mera ye dil meri dharkan meri sansein ye jaa’n ghafil
Ye sub kuch naam tere hy bta pichay bacha kya hai?

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother