Skip to main content

Khud ko pany ki talab main arzoo us ki bhi thi

Khud ko pany ki talab main arzoo us ki bhi thi,
wo jo mil jata to us main abro uski bhi thi,

zindaghi ek dosre ko dondny main kat gaye,
justujo mere bhi dushman thi adao uski bhi thi,

ghar se uska bhi nikalna hogya akhir mahal,
mere ruswai se shohrat ko ba ko uski bhi thi,

kuch mujay bhi seeday sadhay raston se beer hay,
kuch batak jany ky baees justujo us ki bhi thi,

dasht e furqat ka safar bhi akhirash te hogaya,
aur kuch din sath deta arzoo uski bhi thi,

baat barny ko to barh jati buht lakin nazar,
main bhi kuch ghum gho ta chup rehny ki kho uski bhi thi

Zahoor nazar

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother