Skip to main content

Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid

Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid,
Nikal aate hain aansu jab yad ati hai dess ki eid,

Rahain woh khush-o-huram ghar mein apne,
Jin ke liye hum ko rulaati hai pardes ki eid,

Aate hain yaad jab woh phool se chehre,
Us lamhe hum ko kitna tarpati hai pardes ki eid,

Kis se galley milain kisey kahain ge apna hum,
Bas yu’n hi guzar jati hai pardes ki eid,

Kehte hain har bar bas pardes ki hai ye akhri eid,
Agley saal phir aa jaati hai pardes ki eid..

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother