Yaqeen Aata Nahi Dil Ko k aiesa ho Bhi Skata hai
Humara Haal-e-Ghum Sun kar woh Zaalim ro bhi Sakta Hai
Humara Haal-e-Ghum Sun kar woh Zaalim ro bhi Sakta Hai
Kabhi insaan Akela ho k bhi Tanha Nahi Hota
Sarr-e-Mehfil kabhi Beathay Bithaaye Kho bhi Sakta Hai
Ta’ajjub kyun Hai Tum ko Humari Be-Gunaahi Pr
Karam ka Aik Qatra Daagh-e-Daaman Dho bhi Sakta Hai
Kabhi insaan ko Neend Atai Nahi Phooloun k bister Pr
Kabhi Pathar pe Sarr Rakhh kr Mazay Se So bhi Sakta Hai
Woh kehtay Hain Teri khaatir Sitaaray Torr Laingay
Ba-zaahir Youn Nahi Hota Magar youn Ho bhi Sakta hai…
Comments
Post a Comment