Chaahhat Ka Rung Tha Na Wafa Ki Lakeer Thii
Qaatil Ke Haath Main Too Hina Ki Lakeer thii
Khush Hoon Ke Waqt-e-Qatal Mera rung Surkh Tha
Merey Labon Pe Too Harf-e-Dua Ki Lakeer Thii
Main Karwaan Ki Rah Samajhta Raha Jisse
Sehra Ki Reit Pe Woh Hawa Ki Lakeer Thii
Sooraj Ko Jis Ne Shab Ke Andheiron Main Gum Kia
Mouj-e-Shafaq Na Thii Woh Qaza Ki Lakeer Thii
Guzra Hai Shab Ko Dasht Se Shaid Woh Pardah Daar
Her Naqsh-e-Pa Ke Saath Rida Ki Lakeer Thii
Kal Uss Ka Khat Mila Ke Saheefa Wafa Ka Tha
Mohsin Her Ek Satar Haya Ki Lakeer Thii

Comments
Post a Comment