Skip to main content

Suno Ae Chaand Si Larki

Suno Ae Chaand Si Larki


Abi Tum Titliyaan Pakro, Ya Phir Gurriyon Se Khelo Tum.
Abi In Masoom Si Aankhon Se Dheron Khawaab Dekho Tum

Faraz -O-Faiz-O-Mohsin Ki Kitaabain Mat Abhi Parhnaa,
Yeh Sab Lafzon K Saahir Hain Tumhain Uljha K Rakh Dain Gay

Tumhain Maloom Hi Kab Hai,
K Mohabbat K Libaday Main Hawas-o-hirs hoti hay

Ye Insano ki dunya hsy magar in se
kahi barr kar yaha wehshi darende hay,

Wo wehshi darnde jin ki aankhon main
machalthay pyaar k peechya hawas aur hirs hoti hay.

Abi kachi kali gho tum abhi kanton se mat khelo
Abhi Apni Hatheli Pay Kisi Ka Naam Mat Likho,

Abhi Apni Kitaabon Me Gulaabi Phool Mat Rakho
Aabhi sheroon main mat uljho, aabhi umer baqi hay,

Aabhi khud ko sanbhalo tum, aabi mat gungonao tum
Aabhi se Ishq mat sochon, aabhi sb bhool jaon tum,

Sunno Ae Chaand Si Larki.

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother