woh silsile, woh shauq, woh nisbat nahi rahi,
ab zindagi mein hijr ki wehshat nahi rahi.
phir yun hua ke koi shanasa nahi raha,
phir yun hua ke dard mein shiddat nahi rahi.
phir yun hua ke ho gaya masroof woh bahut,
aur ham ko yaad karne ki use fursat nahi rahi.
ab kya kisi ko chaahen ke ham ko to in dino,
khud apne aap se bhi muhabbat nahi rahi.

Comments
Post a Comment