Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2013

Hum aa k tere sheher se wapas na jayen gay

Hum aa k tere sheher se wapas na jayen gay Ye faisala kya hai tujhe dekhne k baad Kehte hain tujhse log masiha magar yahan Ek shakhs mar gaya hai tujhe dekhne k baad Sajdah karon k naqsh-e-qadam chumti rahoon Ghar Kaba ban gaya hai tujhe dekhne k baad Sajdah karon gi tujhko to kafir kahen gay log Ye kon sochta hai tujhe dekhne k baad Rehti hai khoi khoi si har waqt ab  Ye haal ho gaya hai tujhe dekhne k baad.

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay? Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein Dhoop Ka Roop Rachaney Walay Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko Log Rastay Mein Taher Jatey Hein Khaali Damann Say Shikayat Kaisi? Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin? Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein.

Azab-e-Deed Mein Aankhein Laho Laho Kar Kay

Azab-e-Deed Mein Aankhein Laho Laho Kar Kay Mein Sharam-saaz Howa Teri Justaju Kar Kay, Kander Ki Teh Say Bareeda Badan Sarron Kay Siwa Milla Na Kuch BHi Khazanoon Ki Aarzo Kar Kay, Suna Hay Shaher Mein Zakhmi Diloon Kar Mela Hay Chalein Hum Bhi Magar Pair'hen Rafoo kar Kay, Musafat-e-Shab-e-HIjraan Kay Baad Ba'ed Khula Hawa Dukhi Hay ... Chiraghon Ko Be-A'abro Kar Kay, Zameen Ki Piyaas Ussi Kay Lahoo Ko Chaat Gaye Woh Khush Howa Tha Samunder ko Aa'a-Bajo Kar Kay.

Khabi yun bhi hua ke aqal ne sath na diya

Khabi yun bhi hua ke aqal ne sath na diya Khabi aisa hua ke ek jumle main sab samajne lagy

Jal jaoon khamoshi se kari dhoop main lakin

Jal jaoon khamoshi se kari dhoop main lakin Apnon se khabi saya e dewaar na mango

Zara Si Raat Dhal Jaey Tou Shayad Neend Ajaey

Zara Si Raat Dhal Jaey Tou Shayad Neend Ajaey Zara Sa Dil Behal Jaey Tou Shayad Neend Ajaey Abhi Tou Karb Hay, Bechaini Hai, Be-Qaraari Hai Tabiat Kuch Sanbhal Jaey Tou Shayad Nennd Ajey Abhi Tou Narm Jhoonkon Men , Chupe Hen Teer Yadon K Hawa Ka Rukh Badal Jaey, Tou Shayad Neend Ajaey Yeh Hansta Muskurata Qaafla Sitaaron Ka Zara Aagay Nikal Jaey Tou Shayad Neend Ajaey Yeh Toofan Aansoun Ka jo Umad Aaya Hai Palkon Tak Kisi Soorat Yeh Tal Jaey Tou Shayad Neend Ajey……..

Taskeen Na Ho Jis Se Woh Raaz Badal Daalo

Taskeen Na Ho Jis Se Woh Raaz Badal Daalo Jo Raaz Na Rakh Paey, HumRaaz Badal Daalo Tum Ne Bhi Suni Hogi, Badi Aam Kahawat Hai Anjaam Ka Jo Ho Khatra, Aaghaaz Badal Daalo Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskaan Na De Paey Sur He Na Mile Jis Men, Woh Saaz Badal Daalo Dushman K Iraadon Hai Zahir Agar Karna Tum Khail Wohi Khailo, Andaaz Badal Daalo A Dost Karo Himmat Kuch Door Sawaira Hai Agar Chahte Ho Manzil Tou , Parwaaz Badal Daalo..

Ta’alluq Rakh Liya Baqi, Tayyqan Torr Aaya Hoon

Ta’alluq Rakh Liya Baqi, Tayyqan Torr Aaya Hoon Kisi Ka Sath Dena Tha , Kisi Ko Chorr Aaya Hoon Tumhare Sath Jeenay Ki Qasam Khane Se Kuch Pehle Men Kuch Wadey, Kai Qasmein, Kaheen Par Torr Aaya Hoon Mohabbat Kaanch Ka Zindaan Thi Yun Sang-e-Giraan Kab Thi Jahan Sar Phorr Sakta Tha, Waheen Sar Phorr Aaya Hoon Palat Kar Agaya Lekin , Yun Lagta Hai K Apna Aap Jahan Tum Mujhse Bichre Thay, Waheen Rakh Chorr Aaya Hoon Usay Jane Ki Jaldi Thi , So Men Aankhon He Aankhon Men Jahan Tak Chorr Sakta Tha, Wahan Tak Chorr Aaya Hoon Kahan Tak Men Liye Phirta , Mohabbat Ka Yeh Iktaara So Ab Jo Saans Tooti, Geet Aadha Chorr Aaya Hoon Kahan Tak Rum Kia Jaey Ghazal-e-Dasht Ki Soorat So Ahmed  Dasht-e-Wehshat Se Yaka-Yak Dorr Aaya Hoon…

Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hai

Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hai Ik Samandar Meri Aankhon Se Baha Karta Hai Uski Baten Mujhe Khushboo Ki Tarha Lagti Hen Phool Jese Koi Sehra Men,  Khila Karta Hai Mere Dost Ki Pehchaan Yehi Kaafi Hai Woh Har Shakhs Ko Daanista Khafa Karta Hai Aur Tou Sabab Uski Mohabbat Ka Nahi Baat Itni Hai , Woh Mujhse Jafa Karta Hai Jab Khizaan Aaie Tou Lout Aaega Woh Bhi Faraz Woh Baharom Men Zara Kam He Mila Karta Hai….

Aazrooein Fuzool Hoti Hen

Aazrooein Fuzool Hoti Hen Goya Kaghaz K Phool Hoti Hen Har Kisi K Naam Par Nahi Rukti Dharkane Baa-Usool Hoti Hen Patharon K Khuda’on K Aagay Iltijaein  Fuzoll  Hoti  Hen Koi Mere Labon Ko Bhi La Day Jo Duaein Qubool  Hoti  Hen Khuwaab Toot Jaen Ya Bik Jaen Qeematein Kab Wusool Hoti Hen..

Woh Aksar Mujh Se Kehti Thi

Woh  Aksar Mujh Se Kehti Thi Wafa Hai Zaat Aurat Ki Mager Jo Mard Hotay Hain Boht Be'dard Hotay Hain Kisi Bhanwray Ki Soorat Gul Ki Khushbu Loot Lete Hen Suno Tum Ko Qasam Meri Riwayat Torr Dena Tum Na Tanha Chhorr Dena Tum Na Ye Dil Torr K Jana Mager Phir Youn Hua Mohsin Mujhe Anjaan Rastay Per Akela Chhorr Ker Us Ne Mera Dil Torr Ker Us Ne Mohabbat Chorr Di Us Ne, "Wafa Hai Zaat Aurat Ki    Riwayat Torr Di Us Ne....

Zindagi Dard Bhi Dawa Bhi Thi

Humsafar Bhi Gharaiz-Paa Bhi Thi Kuch Tou Thay Dost Bhi Wafa Dushman Kuch  Meri  Aankh Men Haya  Bhi Thi Din Ka Apna Bhi Shor Tha Lekin Shab Ki Aawaaz Bhi Sada Bhi Thi Ishq Ne Hum Ko Ghalib Daan Kia Yehi Tohfa , Yehi  Saza  Bhi  thi Ghard-e-Baad  Wafa Se Pehle Tak Sar Pay Khaima Bhi Tha, Rida Bhi Thi Maa Ki Aankhen Charagh Thi Jis Men Mere Hum-Raah Woh Duaa Bhi Thi Kuch Tou Thi Rehguzar Men Shamma Talab Aur Kuch Taiz Woh Hawa Bhi Thi Bewafa Tou Woh Khair Tha Amjad Lekin Us Men Kaheen Wafa Bhi Thi….

Aaghaz-e-Ishq, Jab Tera Ajaam Aaega

Aaghaz-e-Ishq, Jab Tera Ajaam Aaega Kia Kia Na Apni Zaat Pe Ilzaam Aaega Kesi Aziyaton Se Guzar Jaega Yeh Dil Kis Dukh Se Mere Lab Pe Tera Naam Aaega Ja Tou Raha Hai Dil Tere Iqraar Ki Taraf Men Janta Hoon Lout K Nakaam Aaega Honton Ka Lums De K Mujhe Us Ne Yeh kaha Lay ja Isay Safar  Men Tere Kaam Aaega Jab Mustajib Hoga Duaaon Ka Silsila Ik Aur Dash-e-Hijr  Mere Naam Aaega….

Gale Laga Ke Jo Sunate The Dilki Aahon Ko

Gale Laga Ke Jo Sunate The Dilki Aahon Ko Taras Rahai Hoon Un Hi Ki Haseen Baahon Ko, QadaM QadaM Pe Wo Aankhein Bichha Bichha Dena Zaroor Yaad To Hoga TuMhari Raahon Ko, Duhayi Hai Teri Aye Rahzaan Duhayi Hai Ke Aaj Loot Liya Rehbar Ne Raahon Ko, Mile Na Phir Tere DaMan Mein Daag Unke, Sharab-E-Naab Se Dhoya Hai Jinki Aahon Ko.

Yun tu ghalat nahi hay chehron ka tasur bhi magar

Yun tu ghalat nahi hay chehron ka tasur bhi magar Log waisay bhi nahi jaise nazar aatay hay.

Main jab so jaon en aankhon pe apne hont rakh dena

Main jab so jaon en aankhon pe apne hont rakh dena Yaqeen aajayega palkon talay bhi dil darhkta hay

Milay Jaha'N Kisi Ko Kantay,Tu Kisi Ke Hissay Gulaab Thehray

Milay Jaha'N Kisi Ko Kantay,Tu Kisi Ke Hissay Gulaab Thehray Jisay Chahay Woh Nawaz De, Ye Mere Rab Ke Hisaab Thehray BaDra Rahim-o-Karim Hai Woh Jis Ko De De, Hai Us Ki Marzi Kisi Ke Hissay Sawab Likh De, Kissi Ke Hissay Azaab Thehray Ye Apni Taqdeer Se Hai Mila, Kisi Ko DariyAa Kisi Ko SehrAa Koii Tarasta Hai Boond Boond, Kisi Ke Hissay Chanab Thehray Koii Din Mai'N Bhi Sapne Hai Dekhta, Kisi Se Neendai'N Roth Gaii'N Kisi Ke Hissay Mai'N Rat-Jagay, Kisi Ke Hissay KhuAab Thehray

Ye Mujza Bhi Kisi Rooz Kar Hi Jana Hai

Ye Mujza Bhi Kisi Rooz Kar Hi Jana Hai Tere Khayal Say Ek Din Guzar Hi Jana Hai Na Jane Kis Liye Lamhu'N Ka Bojh Dhote Hai'N Ye Jante Hoye Bhi Ke Ek Din Tu Mar Hi Jana Hai Woh Keh Raha Tha Nibhaye Ga Piyar Ki Qasmai'N Aur Mai Janta Tha Ke Us Ne Mukar Hi Jana Hai HawAa-e-Shaam! Kaha'N Le Chali Zamanay Ko Zara Thehar, Ke Hamai'N Bhi Ghaar Hi Jana Hai Mai KhuAab Dekhta Hu'N Aur Shair Kehta Hu'N Aur Hunar Walu'N Ne Isay Be-Hunar Hi Jana Hai

BichDre Tu Qurbatu'N Ki DuAa Bhi Na Kar Sakay

BichDre Tu Qurbatu'N Ki DuAa Bhi Na Kar Sakay Ab Ke Tujhe Supard-e-KhudAa Bhi Na Kar Sakay Taqseem Ho Ke Reh Gaye So Kirchiyu'N Mai'N Hum Aur Naam-e-WafAa Ka Qarz Aada Bhi Na Kar Sakay Nazuk MizAaj Logh Thay Hum, Ho Jese Aaiina Tootay Kuch Is Tarha'N Ke SadAa Bhi Na Kar Sakay Khush Bhi Na Rakh Sakay Tujhe Apni ChAah Mai'N Aur Achii Tarha'N Se Tujh Ko Khafa Bhi Na Kar Sakay

Ye Jo Zeest Ka Safar Hai

Ye Jo Zeest Ka Safar Hai Ye Jo Raasta Hai Mera Tum Agar Na Sath Do Gay Tou Ye Kis Tarhan Katey Ga? Meri Soch Ki Hadon Tak Ye Guumaan Kaise Aaye Koi Pal Bina Tumharey Bhala Kaise Beet Jaye, Mere Paas Tum Nahi Ho Mere Paas Kuch Nahi Hai Meri Yaad K Nagar Mein Mere Khuwab K Safar Mein, Meri Souch Ki Te,hon Mein Bus Aarzoo Tumhari Is Aarzoo Se Agay Koi Raasta Nahi Hai Meri ibtida tumhi thy Meri intehaa tumhi pe Tumhe Kis Qadar Hai Chaha Ye tumhain Pata Nahi Hai.

Buhat Muddat K Baad Kal Shab Kitab E Maazi Ko Main Nay Khola

Buhat Muddat K Baad Kal Shab Kitab E Maazi Ko Main Nay Khola Buaht Say Chahray Nazar Main Utray Buaht Say Nammon Par Dil Paseeja, Aik Aysa Safha Bhi Us Main Aaya Likha Hoa Tha Jo Aansoon Say K Jis Ka Unwaan Sirf Tum Thay Kuch Or Aansoo Phi r Us Pe Tapkay, Phir Us Say Aaagay Main Parh Na Paaya Kitab E Maaazi Ko Band Kar K Tumhari Yaadon Main Khoo Gaya Main Ager Tum Milty Tu Kysa Lagta Inhi Khayaloon Main So Gaya Main.

Mukamal chorr do mujhay ko ya mere he ho jaow

Mukamal chorr do mujhay ko ya mere he ho jaow Mujhay acha nahi lagtha tumhein khona, tumhein pana!!

Tere Mashware Ke Khaloos Pe Mujhe Tark-e-Ishq Qabool Hai

Tere Mashware Ke Khaloos Pe Mujhe Tark-e-Ishq Qabool Hai Mager Aik Baat Hai Hum Nasheen! Meri Zindagi Ka Sawal Hai

Woi RanJeshain, woe Hasratain, Na Hi Dard-E- DIl Mai KamI Hui..!!!!

Woi RanJeshain, woe Hasratain, Na Hi Dard-E- DIl Mai KamI Hui..!!!! AjAb Si Hai Mere ZinDaGe, nA GuzAr SakI Na KhAtAm Hui...!!!!!

Puranay Raabton Ko Phir, Naye Waaday Ki Khwaish Hai

Puranay Raabton Ko Phir, Naye Waaday Ki Khwaish Hai,,,,, Zara Ek Baar Phir Keh Do, Ke Mohabbat Mar Nahi Sakti ...!!

Rahat e dil mata e jaan hay tu

Rahat e dil mata e jaan hay tu Aye gham e dost jawedaan hay tu Aansoun par bhi tera saya hay Dhoop k sar pe saibaan hay tu Dil teri dastaras main kyoun na rahay Is zameen par to aasmaan hay tu Shaam e sheher udaas k wali! Aye mere meherbaan kaha hay tu? Saya e abr e raigaan hoon main Mouj e beher e bekaraan hay tu Main tahe dast wa gard perahan Laal o almas ki dukaan hay tu Lamha bhar mil k roothnay walay Zindagi bhar ki dastaan hay tu Kufr o emaan k fasloun ki qasam Aye mata e yaqeen gumaan hay tu Tera iqraar hay nafi meri Mere asbaat ka jahaan hay tu Jo muqaddar sanwaar detay hain! Un sitaroun ki kehkashan hay tu Be nishaan be nishaan khayaam mere Karvaan karvaan rawaan hay tu Jaltay rehna chiraagh aakhr e shab Apne mohsin ka raazdaan hay tu

Mujhse Giley Hain, Mujh Pe, Bharosa Nahi ussay

Mujhse Giley Hain, Mujh Pe, Bharosa Nahi ussay.... Yeh Soch Kar, Hamne Bhi To, Roka Nahi Ussay.... Wo Shaksh, Kabhi Chand, Sitaron Se, Ye Poochhay.... Hai Kaun See, Wo Raat Jab, Socha Nahi Usay.... Alfaz Teer Ban Ke, Utartay Rahe, Dil Me.... Suntay Rahe, Chup Chap Hi, Toka Nahi Usay.... Ae Dost Yeh, Muhabbat Nahi, Asool-E-Wafa Hi Tau Hai.... Hum Jaan To, De Dengay, Magar, Dhoka Nahi Usay...!!