Muhabbat se muhabbat ho gai hay,
Mere zariye se chahat ho gai hay.
Bazahir meherban mujhper hua too,
Teri tujhper enayet ho gai hay.
Main ban kar rah gai hoon aaina ek,
Tujhe khud se muhabbat ho gai hay.
Dilaya maine ye ehsas hay bas,
Tujhe teri zaroorat ho gai hay.
Hamari to kisi ki dosti mein,
Hazaron se adawat ho gai hay.
Zameen ta aasman har simt ruswa,
Hamari bhi hikayet ho gai hay.
Meri ruswaiyoon ke sath teri,
Zamane bhar mein shohrat ho gai hay.
Lage ho dekhne aankhon mein soorat,
Tumhari bhi yeh jurat ho gai hay.
Nai tum seekhte ho roz shokhi,
Bhala kaisi yeh aadat ho gai hay.
Sanbhal kar hath rakho barg-o-gul per,
Junoon mein kaisi halat ho gai hay.
Muhabbat bekhabar thi aap se jo,
Jo dekha to qyamat ho gai hay.
I am extremely impressed along with your writing abilities, Thanks for this great share.
ReplyDeleteBlogging is the new poetry. I find it wonderful and amazing in many ways.
ReplyDelete