Chalay jo ho to bata k jao Ke kitni shaamein udaas aankhon mein kaatni hein Ke kitni subhain akelay pan mein guzaarni hein Bata k jao Ke kitne sooraj azaab rastoon ko dekhna hai Ke kitne mehtaab sard raatoon ki wusaton se nikaalne hein Bata k jao ke chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai Bata k jao ke kitne lamhay shumaar karne hein hijr raton ke Ke kitne mousam aik aik kar k judaiyon mein guzaarne hein Bata k jao ke panchiyon ne akele pan ka sabab jo poocha To kaya kahoon ga??? Bata k jao ..main kis se tera gila karoon ga Bichhar ke tujhse Habeeb..kis se mila karoon ga Bata k jao ke aankh barsi to koUn moti chuna karay ga Udaas lamhon mein dil ki dhadkan suna karay ga Bata k jao k mousamon ko payam dene hein ya nahin Fallak ko, taron ko, jugnu'on ko slaam dene hein ya nahin Bata k jao k kis peh hai aitebaar karna To kis ki baaton pe be-niazi kay silsale ikhtiyaar karna Bata k jao k ab ravvi...
Beautiful World of Urdu and English Poetry