Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay, Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay, Wo jo saye main har maslihat kay palay; Aisay dastoor ko, Subh e bay noor ko, Main naheen maanta, Main naheen jaanta. Main bhee kha’if naheen takhta e daar say, Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say, Kyun daraatay ho zindaan ki divar say, Zulm ki baat ko, Jehel ki raat ko, Main naheen maanta, Main naheen jaanta. Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho, Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho, Chak seenon kay silnay lagay tum kaho, Iss khulay jhoot ko, Zehan ki loot ko, Main naheen maanta, Main naheen jaanta. Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon, Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon, Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon? Tum naheen charaagar, Koi maanay magar, Main naheen maanta, Main naheen jaanta.