Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2012

Khud ko pany ki talab main arzoo us ki bhi thi

Khud ko pany ki talab main arzoo us ki bhi thi, wo jo mil jata to us main abro uski bhi thi, zindaghi ek dosre ko dondny main kat gaye, justujo mere bhi dushman thi adao uski bhi thi, ghar se uska bhi nikalna hogya akhir mahal, mere ruswai se shohrat ko ba ko uski bhi thi, kuch mujay bhi seeday sadhay raston se beer hay, kuch batak jany ky baees justujo us ki bhi thi, dasht e furqat ka safar bhi akhirash te hogaya, aur kuch din sath deta arzoo uski bhi thi, baat barny ko to barh jati buht lakin nazar, main bhi kuch ghum gho ta chup rehny ki kho uski bhi thi Zahoor nazar

hum ko to gardish-e-halat pe rona aaya

hum ko to gardish-e-halat pe rona aaya roney waley tujhe kis baat pe rona aaya kaise jeetey hein yeh kaise jiye jatey hein ehl-e-dil ki basr aukat pe rona aaya jee nahin,aap se kya mujh ko shikayat hogi haan mujhe talkhee-e-ye halat pe rona aaya husn ne apni jafaoon pe bahaye ansoo ishq ko apni shikayat pe rona aaya saif' yeh din to qayamat ki tarhan guzra hai janey kya baat thee har baat pe rona aaya Saif uddin saif

Aainay Par Kabhi Kitaab Mein Hain

Aainay Par Kabhi Kitaab Mein Hain Uski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain, Thakte Phirte Hain Dhoop Mein Bachay Titliyaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain, Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Par Kitni Tugyaaniyaan Chanaab Mein Hain, Woh Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain, Uski Aadat Hai Roothna "Mohsin" Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain.

Youn Hi Udaas Hai Dil,Be'Qarar Thori Hai

Youn Hi Udaas Hai Dil,Be'Qarar Thori Hai. Mujhe Kisi Ka Koi intezar Thori Hai. Nazar Mila K Bhi Tum Se Gila Krun Kaisey? Tumhare Dil Pe Mera ikhtiyaar Thori Hai? Mujhe Bhi Neend Na Aaye,Usey Bhi Chain Na Ho, Hmarey Beech Bhala itna Pyar Thori Hai? Khizaan Hi Dhoondti Rehti Hai Dar-Ba-Dar Mujhko. Meri Talash Mein Pagal Bahaar Thori Hai? Na Janey Kon Yahan Apna K ChoR Jay? Yahan Kisi Ka Koi Aitbaar Thori Hai.

Iss eid pe lot k aa jana

Iss eid pe lot k aa jana, Kuch yadein taza krni hain, Kuch lamhay morr k lanay hain, Kuch taray torr k lanay hain, Wo masti or wo madhoshi, Wo bachpan morr k lana hai, Is eid pe lot k aa jana, Ab dil ko dil ki dharkan se, Phir eid mubarak kehna hai, Ab sath boht din rehna hai, Is eid pe lot k aa jana…!

Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maan

Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maan, Ab mery baghair eid kaisy manao gi maan, Sab k bety jab aayen ge eid parh ke, Tum darwazy mein khari takti reh jaogi maan, Saway’yan jab bantny lago gi mohally mein, Tumhari palk aanson se bheeg jaye gi maan, Sham tak bhi jab na pohnch paonga ghar, Tery dil ki dharkan jaisy ruk si jayegi maan, Eid parh kr jab wapis aaonga duty pe, Tasali ye dil ko de kr so jaonga maan, Eid ka kiya hai agly saal phir ajyegi maan..

Suna Hy Chand Nikla tha

Suna Hy Chand Nikla tha, Suna Hy EID Bhi Hogayi, Humein To Aasman Pe Door Tak, Kuch Bhi Nahi Dikha tha, Kahan Wo Chand Nikla tha, K Jis K Wasty Hum Ne, Kabhi Palkein Nahi Jhapki, Wo Jis Ka Rasta Takty, Hy Guzari Zindagi Apni, Nahi Kuch Bhi Khabar Ke Wo, Nikly Ga To Kab Aakhir…..?? Humari Muntazir Aankhon Ko, Us Ki Deed Kab Hogi,? Abhi Tum Hum Se Mat Pucho, Humari EID Kab Hogi..

Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid

Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid, Nikal aate hain aansu jab yad ati hai dess ki eid, Rahain woh khush-o-huram ghar mein apne, Jin ke liye hum ko rulaati hai pardes ki eid, Aate hain yaad jab woh phool se chehre, Us lamhe hum ko kitna tarpati hai pardes ki eid, Kis se galley milain kisey kahain ge apna hum, Bas yu’n hi guzar jati hai pardes ki eid, Kehte hain har bar bas pardes ki hai ye akhri eid, Agley saal phir aa jaati hai pardes ki eid..

Qurbani karna, eid manana, Khoob khushi ke naghmey gana

Qurbani karna, eid manana, Khoob khushi ke naghmey gana, Jo gham ke maarey hain becharey un ko lekin bhool na jana.

jin Shaamon Mein Tujhe Bhoolna Chahain... ..Wohi Raatain Azaab Hoti Hain..... Apni Yaadon K Silsilay Roko.... Meri Neendain Kharab Hoti Hain..!!

jin Shaamon Mein Tujhe Bhoolna Chahain... ..Wohi Raatain Azaab Hoti Hain..... Apni Yaadon K Silsilay Roko.... Meri Neendain Kharab Hoti Hain..!!

Aur to kya tha bechnay ke liye

اور تو کیا تھا بیچنے کیلئے اپنی آنکھوں کے خواب بیچے ہیں Aur to kya tha bechnay ke liye Apne ankhon ke khwaab bechay han

Har Jurm Meri Zaat Se Mansoob Huaa Hai

Har Jurm Meri Zaat Se Mansoob Huaa Hai Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hen Saaray?

Aaney wali ruton ke anchal mein

Aaney wali ruton ke anchal mein Koi saaat saeed kya ho gi Raat ke wakt rang kya pehnoon Roshni ki kuleed kya hogi Jab ke baadal ki oat lazim ho Janti hoon, ke deed kya hogi Zard mausam ki khushk tehni se Koanplon ki umeed kya hogi Chaand ke koi pass bhi sunaney ko Ab ke koi naveed kya hogi Gul na hoga to jashne khushbu kya Tum na ho ge tou eid kya hogi...!

aaiiye haath uThaain ham bhii

aaiiye haath uThaain ham bhii ham jinhe.n rasm-e-dua yaad nahii ham jinhe.n soz-e-mohabbat ke siwaa koi butt, koi Khudaa yaad nahii aaiiye arz guzare.n k nigaar-e-hastii zahar-e-imaroz main sheerenii-e-fardaa.N bhar de wo jinhe.n tabe garaa.N baarii-e-ayyaam nahii un kii palakon pe shab-o-roz ko halkaa kar de jin kii aaNkhon ko ruKh-e-subha kaa yaaraa bhii nahii un kii raaton main koii shamaa munawwar kar de jin ke qadamon ko kisii rah kaa sahaaraa bhii nahiin un kii nazaron pe koii raah ujaagar kar de jin kaa diin pairavii-e-kazbo-riyaa hai un ko himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiiq mile jin ke sar muntazir-e-teG-e-jafaa hain un ko dast-e-qatil ko jhaTak dene kii taufiiq mile ishq kaa sarr-e-nihaa.N jaan-tapaa.N hai jis se aaj iqaraar karen aur tapish miT jaaye harf-e-haq dil main KhaTakataa hai jo kaNTe kii tarah aaj izahaar karen or Khalish miT jaaye

safar per saath chali thi jo rehbaron ki tarah

safar per saath chali thi jo rehbaron ki tarah juda hui wo bhi aakhir musafiron ki tarah main sochta hoon wo kese bicharh gayi mujhse jo dhoop main milti thi mujhe badalon ki tarah ajeeb larki thi hawaaon se dushmani lekar wo rait par likhti thi mera naam pagalon ki tarah wo chahaton ki mukammal kitaab thi yaaron mujhe fasana sunaati thi shayaron ki tarah

Yahan har shakhs har pal hadsa honay say darta hay

Yahan har shakhs har pal hadsa honay say darta hay, Khilona hay jo mitti ka fana honay say darta hay, Mere dil k kisi konay main ik masoom sa bacha, Baron ki daikh kr dunya bara honay say darta hay, ... Ajab hay zindagi ki qaid main dunya ka har insaa, Rihai mangta hay or riha honay say darta hay, Na bus main zindagi is k na qaabu mot pay is ka, Magar insaan phir bhi kab khuda honay say darta hay!!

Main Jab Bhi Teri Yaadon Ka Sahara Thaam Leta Hun

Main Jab Bhi Teri Yaadon Ka Sahara Thaam Leta Hun Bhula Deta Hun Dard ö Ghum Zara Aaram Leta Hun Na Jaane KonSa Jazba Mujhe Majboor Karta Hai Main Aksar Behktay Main Bhi Tumhara Naam Leta Hun Yaqeen Karta Nahi Koi Bhi Meri Be Gunahi Ka Main Khud Chup Chaap Apne Sar Pe Hr Ilzam Leta Hun Shayed Hr Baat Pr Rona Mujhe Achha Nahi Lagta Isi Khaatir Main Ghum Main Bhi Hansi Se Kaam Leta Hun

Barishon mein bheeg Kr

Barishon mein bheeg Kr Wo aksar Kaha Krti thi Mujhe 2 cheezen bht Piyari lagti hain Ek barish or ek tum Barish mujhe is liye Piyari lagti hai Q-K barish tumhari yaadain le Kr aati hai Tum mujhe is liye Piyare lagty ho Q-K tumhari yaadain Barish Ko or b Piyara bana deti hain Aaj barish mein Akely bheeg Kr …JANAY Q…? Mera Dil mujh se baar baar Keh raha tha K main barish Ki her ek boond se Pochon Kia usy barishain Aaj b Piyari lagti hain?

Jama tum ho Nahi sakte,hamien manfi s nfrat he

Jama tum ho Nahi sakte,hamien manfi s nfrat he tumhe taqseem karta hon,to hasil kuch nahi aye Koi Qa'yeda koi KUli'ya na laagu tujh pe ho paye zarab tujh ko agar dn tu' hisaabon me khalal aye Ikaaye ko dahaayi par,main dn nisbat to kasie dn Na AL'jabra se lagte ho,Na ho degree nikal aye Umar ye kat gaye meri,tjhe humdum smjhne m jo hall tera agar nkle,tu sab kch hi ulajh jae Sif'far thi ibteda teri,sif'far hi ab talak tum ho sif'far zarb_E_sif'far ho tum,na jis s kch far aye

Aseer-e-Dasht-e-Wafa Ka Na Maajra Kehna

Aseer-e-Dasht-e-Wafa Ka Na Maajra Kehna Tamaam Puchnay Walon Ko Bas Dua Kehna Yeh Kehna K Raat Guzarti Hai Ab Bhi Aankhon mein Tumhari Yaad Ka Qaayim Hai Silsila Kehna Yeh Kehna K Chaand Nikalta hai Baam Par Ab bhi ...Magar Nahi woh Shaab K Ab Maza Kehna Yeh Kehna k Humne Hi Toufaan Mein Daal Di Kashti Qasoor Apna Hai Darya Ko Kya Bura Kehna?

Ab Jo Bichry Hain To Ehsas Huwa Hay Hum Ko

Ab Jo Bichry Hain To Ehsas Huwa Hay Hum Ko Dard Kya Hota Ha Tanhai Kisy Kehty Hein.. Char-Soo Goonjti Ruswai Kisy Kehty Hein.. Ab Jo Bichry Hain To Ehsas Huwa Hay Hum Ko Koi Lamha Ho Teri Yaad Mein Kho Jaty Hein Ab To Khud Ko Bhi Muyassar Nahi Aa Paty Hein Raat Ho Din Ho Tere Piyar Mein Hum Behty Hein Dard Kya Hota Hay Tanhai Kisy Kehty Hein Ab Jo Bichry Hein To Ehsas Huwa Hay Hum Ko.. Jo Bhi Ghum Aay Usy Dil Pe Saha Karty Thy Ek Wo Waqt Tha Hum Mil Ke Raha Karty Thy Ab Akely Hee Zamany K Sitam Sehty Hein.. Dard Kya Hota Hay Tanhai Kisy Kehty Hein Ab Jo Bichry Hein To Ehsas Huwa Hay Hum Ko.. Hum Nay Khud Apny Hee Rasty Mein Bichaye Kanty Ghar Mein Phoolon Ki Jaga Lay k Sajaye Kanty Zakham Is Dil Mein Basaye Huwy Khud Rehty Hain Dard Kya Hota Hay Tanhai Kisy Kehty Hein Ab Jo Bichry Hein To Ehsas Huwa Hay Hum Ko.. Yoon To Duniya Ki Her Ek Cheez Haseen Hoti Hay Piyar Se Barh Ke Magar Koi Nahi Hoti Hay Rasty Rok K Her Ek Se Yehi Kehty Hein Dard Kya Hota Hay Tanhai K...

safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo

safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo sabhi haiN bheeD meiN tum bhee nikal sako to chalo kisi ke waaste raaheN kahan badalti hai tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo yahan kisi ko koi raasta nahin deta muJhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummeedeN inhi khilonoN se tum bhee bahal sako to chalo

Afsurdgi k hatho jal jal k thak gai he

Afsurdgi k hatho jal jal k thak gai he, ay dil zara teher ham chal chal k thak gai he, jese k be yaqini taaber hochuki he, ham ahle khwab ankhe mal mal k thak gai he, kia jane kitni gehri zulmat me he muqaddr, kia jane kitne soraj dhal dhal k thak gai he, wamandgi hy tehri hasil safar khizar ka, tm ruk k thak gai ho ham chal k thak gai he, us kanj aafyat se dushman ki qaid achy, say me ham tmhare aanchal k thak gai he, shayad k taza dam ho ab damane gazal me, dukh dard aanso me dhal dhal k thak gai he.

Kuch Din Tou Baso Meri Aankhon mein

Kuch Din Tou Baso Meri Aankhon mein phir khwab agar ho jao to kaya Koi Rang Tou Do Mere Charay ko Phir Zakham Agar Mehkao Tou Kaya?? Main Tanha ThaMain Tanha Hoon:) Tum AAO Tou Kaya Naa Aao Tou Kaya... Jab Hum Hee Naa Mehkay Sawan Mein... Tum Baad-e-Saba Kehlao Tou Kaya? Kuch Din Tou Baso Meri* Aankho Mein Phir Khawab agar ho jao to Kaya???..

Udaas Dil Ki Veeraniyon Mein Bikhar Gaye Hain Ghulab Saare

Udaas Dil Ki Veeraniyon Mein Bikhar Gaye Hain Ghulab Saare, Yeh Meri Basti Se Kon Guzra Nikhar Gaye Hain Ghulab Saare, Woh Door Ho To Haqeeqaton Par Saraab Ka Ek Gumaan Sa Ho, Woh Pass Ho To Gumaan Ho Ke Haqeeqatein Hain Saraab Saare, Na Jane Kitni Shikayatein Hain Na Jane Kitne Gile Hain Dil Se, Jo Unko Dekha To Bhool Baithe Sawal Saare Jawab Saare, Jo Tu Na Hota To Kis Tarah Meri Soch Ko Phir Haroof Milte, Bas Ek Tumne hi De Diye Hain Kitaab Ko Meri Baab Saare...

mohabbat se riha hona zaroori hogaya hai

mohabbat se riha hona zaroori hogaya hai mera tujhse juda hona zaroori hogaya hai wafa ke tajurbe karte hue to umar guzri zara sa bewafa hona zaroori hogaya hai meri awaz tanhaayi main marti ja rahi hai kisi ka humnawa hona zaroori hogaya hai azaab zulmat-e-shab hai ke ab dil ke labon par koi harf-e-duaa hona zaroori hogaya hai

Wo Samar Tha Meri Duaaon Ka

Wo Samar Tha Meri Duaaon Ka Usay Kis Ne Apna Bana Liya Meri Neend Kis Ne Ujaarh Di Mara Khawab Kis Ne Chura Liya Tujhe Kiya Bataon Ay Dil Nasheen Tere Ishq Main Teri Yad Main Kabi Guftgu Rahi Phool Se Kabi Chand Chat Pe Bula Liya Meri Chaand Hony Ki Hasrten Meri Khushbo Hony Ki Khawahishen Tu Juda Hua To Youn Laga Main Ne Zindagi Ko Ganva Diya

Muhabat ka irada ab badal jana b mushkil ha

Muhabat ka irada ab badal jana b mushkil ha, Tumein khona b mushkil ha tumein pana b mushkil ha, Udasi tery chehray ki gawara b nahe lekin, Teri khatir sitaray tor kar lana b mushkil ha, Zara si bat par aankhein bhigo kar beith jaty ho, Tumein to apnay dil ka hal batlana b mushkil ha

Jo Khiaal Thay Na Qiyaas Thay , Wohi Loug Mujh Se Bicher Gai

Jo Khiaal Thay Na Qiyaas Thay , Wohi Loug Mujh Se Bicher Gai Jo Muhabbaton Ke Asas Thay, Wohi Loug Mujh Se Bicher Gai Jinahin Manta Hi Nahi Ye Dil,Wo hi Loug Mere Hain Humsafer Mujhay Her Terah Se Jo Raas Thay , Wohi Loug Mujh Se Bicher Gai Mujhay Lamha Bher Ki Rafaqaton ke Seraab Aur Sitaain Gai Meri Omer Bher Ki Jo Piyas Thay, Wohi Loug Mujh Se Bicher Gai Ye Khial Saray Hain Aarzi Ye Gulaan Hain Saray Kaaghzi.. Gul-e-Arzoo Ki Jo Baas Thay, Wohi Loug Mujh Se Bicher Gai Jinhain Ker Saka Na Qabool Main, Wo Shereek Rah_e_Safer Huay Jo Meri Talab , Meri Aaas , Wohi Loug Mujh Se Bicher Gai Meri Dherkanon Ke Qereeb Thay , Meri Chah Thay Mera Khowab Thay Wo Jo Roz-o-Shab Mere Pass Thay, Wohi Loug Mujh Se Bicher Gai

Abh ke us ki ankhon mien

Abh ke us ki ankhon mien besabab udaasi thi abh ke us ke chehray per dukh tha...behawasi thi abh ke yun mila mujh se yun ghazal suni...jese mein bhi na_shanasa hoon wo bhi ajnabi jesse zard khaal o khad uss ke sogawar daman tha abh ke uss ke lahjay mein kitna khudra pan tha wo ke umer bhar jis ne shahr bhar ke loogon mien mujh ko hum sukhan jana khud se mehrban samjha mujh ko "Dilruba" likha abh ke sada kaghaz per surkh roshnai se us ne talkh lahjay mein mere naam se pehle! sirf "Bewafa" likha.

Raat ki Zulfein Barham Barham

Raat ki Zulfein Barham Barham,, Dard Ki Lou Hai Madham Madham,, Mere Qissey Galiyon Galiyon,, Tera Charcha aalam aalam,, Pathar Pathar Ishq ki Raatein,, Husn ki Baatein Resham Resham,, Aik Jaza Hai Jannat Jannat,, Aik Khata hai Aadam Aadam,, Aik Azaab hai Basti Basti,, Aik Sadaa hai Maatam Maatam,, Saari Laashein Tukrre Tukrre,, Saari Aankhein Purnam Purnam,, Hijr k Lamhe Zakhmi Zakhmi,, Us ki Yaadein Marham Marham

pichli raat ke gehray sannatay main

pichli raat ke gehray sannatay main wo apne haathon main apna sar liye dair tak sochti rahi ke raat ki chaabuk kab tak yunhi parti rahegi tareeki ka naag kab tak seenay ke khazanay per qabza rakhega wo sochti rahi yahan tak ke ujalay raat ki khirkiyoN per dastak dene lage magar aagihi ki jugnoo ki aamad se bus aik lamha qabal subha ke mad-ham sitaray neend ban ker uski aankhon main utar chukay thay

Ashk Girte Hain Meri Sans Sambhal Jati Hai

Ashk Girte Hain Meri Sans Sambhal Jati Hai, Day K Ek Dard Shaam Guzar Jati Hai, Us Ko Dekhon To Mere Dard Ko Milta Hai Sakon, Us Se Bichron To Meri Jaan NIKAL Jati Hai, Ishq Kuch Aise Mitata Hai  Nishan-e-Hasti, Jese Har Raat Ujaale Ko NIGAL Jati Hai, Zakham Bharta Hi Nahi Us Ki JUDAI Ka Mager, Phir Us Ki Yaad Naya Dard UGAL Jati Hai, Wo Agar Dil Pe Mere Hath Hi Rakh day Tot'ti Sans Bhi Kuch Dair SANBHAL Jati Hai.

guzre dinon ki yaad barasti ghata lage

guzre dinon ki yaad barasti ghata lage guzroon jo uski gali se to thandi hawa lage mehmaan banke aaye agar kisi roz wo shakhs is roz bin sajaaye mera ghar sajaa lage main isliye manaata nahin wasl ki khushi mere raqeeb ki na mujhe bad-dua lage wo qehat dosti ka para hai ke in dinon jo muskura ke baat kare aashna lage tark-e-wafa ke baad yeh uski ada qateel mujhko sataaye koi to usko bura lage

Jis simt bhi dekhoon nazar aataa hai keh tum ho

Jis simt bhi dekhoon nazar aataa hai keh tum ho Ay jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai keh tum ho Yeh khwaab hai khushbuu hai ke jhonkaa hai keh pal hai Yeh dhundh hai baadal hai ke saayaa hai keh tum ho Is deeed ki sa'at maiN kaee rang hain larazaaN MaiN hoon ke koi aur hai duniyaa hai keh tum ho Dekho yeh kisi aur kee aankhaiN haiN keh meri Dekhoon ye kisi aur kaa cheharaa hai keh tum ho yeh umr-e-guraizaan kaheeN Tehray tu ye jaanooN Hur saans maiN mujh ko yeh lagtaa hai keh tum ho Hur bazm maiN mauzoo-e-sukhan dil zaadgaan ka Ab kaun Shireen hai keh Lailaa hai keh tum ho Ek dard kaa phailaa hua saharaa hai keh maiN hoon Ek mauj maiN aayaa huaa dariya hai keh tum ho Woh waqt na aaye ke dil-e-zaar bhee sochay Is shahar maiN tanhaa koi ham sa hai keh tum ho Ay jaan-e-'Faraz' itani bhi taufeeq kisay thee Hum ko gham-e-hasti bhee gawaaraa hai keh tum ho

Badnaam zamany main mohabbat nahi kartay

Badnaam zamany main mohabbat nahi kartay Dil walay to dushman se bhi nafrat nahi kartay Ek baar jisay chaha sada us kay rahay phir Hum log amaanat main khayanat nahi kartay Tanhai main kar lete hain yaad aansoo baha kar Zahir kabhi hum apni ebadat nahi kartay Waqt aanay par maloom yeh ho jaye ga us ko Hum sirf dikhaway ki mohabbat nahi kartay Likhtay hain faqat ek us kay liye ghazlain Har shaks pe hum aisay enayat nahi kartay

Mujh sy yeh log kehtey han

Mujh sy yeh log kehtey han Kahan dil chor aaye ho.. Bohut chup chaap rehtey ho.. Na bantey na sanvertey ho.. Na koi baat krty ho.. Bhari mehfil mein bhi aksar Hamesha khoey rehtey ho.. Udaasi ankhon mein ley kr.. Har ik chehrey ko taktey ho.. Koi jab yaad ata hai.. To thandi aah bhrty ho.. To khul kr q nahin kehtey.. Kisi ko yad krty ho....!!

Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e- Hawa, Raat Ke Saath

Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e- Hawa, Raat Ke Saath Kia Tujhe Bhee Koi Yaad Aata Hai Barsaat Ke Saath ? Roothnay Aur Manaanay Ki Hadain Milnay Lagee.n Chasham Poshi Ke Saleeqay Thay, Shikayaat Ke Saath Tujh Ko Kho Kar Bhee Rahuun Khilwat-e-Jaa.n Mein Teri Jeet Paayi Hai Mohabbat Ne Ajab Maat Ke Saath Neend Laata Howa, Phir Aankh Ko Dukh Deta Howa Tajurbay Donuun Hain Wabasta Tere Haath Ke Saath Kubhi Tanhayi Se Mehroom Na Rakha Mujh Ko Dost Hamdard Rahay Kitnay, Meri Zaat Ke Saath

Ye Duniya hai

Ye Duniya hai Yahan pe ye Tamasha ho b sakta hai, Abhi to Gham Hamara hai Tumhara ho b sakta hai, Na ye smjho k Tum hi Aakhri meri Mohabbat ho, Mohabbat jurm hai Hum se Dubara ho b sakta hai, Tera milna, Bicher jana, Bicher k phir se mil jana, Hamesha ki judai ka ishara ho b sakta hai, Tum apny ap ko hr-giz koi ilzam mat dena, Ye sooda hai Mohabbat ka khasara ho b sakta hai...

akhiri Tis azamane ko

akhiri Tis azamane ko ji to chaha tha muskurane ko yad itni bhi sakht jan to nahin ik gharaunda raha hai dahane ko sangrezon main dhal gaye ansu log hansate rahe dikhane ko zaKhm-e-nagma bhi lau to deta hai ik diya rah gaya jalane ko jalane vale to jal bujhe akhir kaun deta Khabar zamane ko kitne majbur ho gaye honge ankahi bat munh pe lane ko khul ke hansana to sab ko ata hai log tarasate rahe ik bahane ko reza reza bikhar gaya insan dil ki viraniyan jatane ko hasraton ki panahgahon main kya thikane hain sar chhupane ko hath kanTon se kar liye zakhmi phul balon main ik sajane ko as ki bat ho ki sans 'Ada' ye Khilaune hain tuT jane ko

har ek harf-e-arazu ko dastan kiye hue

har ek harf-e-arazu ko dastan kiye hue zamana ho gaya hai un ko mahaman kiye hue surur-e-aish talKhi-e-hayat ne bhula diya dil-e-hazin hai bekasi ko hijr-e-jan kiye hue kali kali ko gulistan kiye hue vo ayenge vo ayenge kali kali ko gulistan kiye hue sukun-e-dil ki rahaton ko un se mang loon sukun-e-dil ki rahaton ko bekaran kiye hue vo ayenge to ayenge junun-e-shauq ubharane vo jayenge to jayenge tabahiyan kiye hue main un ki bhi nigah se chhupa ke un ko dekh loon k un se bhi hai aj rashk bad_guman kiye hue

na gubar main na gulab main mujhe dekhana

na gubar main na gulab main mujhe dekhana mere dard ki ab-o-tab main mujhe dekhana kisi waqt sham malal main mujhe sochana kabhi apane dil ki kitab main mujhe dekhana kisi dhun main tum bhi jo bastiyon ko tyag do isi rah-e-KhanaKharab main mujhe dekhana kisi rat mah-o-najuum se mujhe puchhana kabhi apani chashm purab main mujhe dekhana isi dil se ho kar guzar gaye kai karavan ki hijraton ke zab main mujhe dekhana main na mil sakun bhi to kya hua ke fasana hun nai dastan naye bab main mujhe dekhana mere Khar Khar saval main mujhe Dhundna mere git main mere Khvab main mujhe dekhana mere ansuon ne bujhai thi meri tashnagi isi bargzida sahab main mujhe dekhanaa wohe ik lamha deed tha ke ruka raha mere roz-o-shab ke hisab main mujhe dekhana jo tarap tujhe kisi aine main na mil sake to phir aine ke javab main mujhe dekhana

shayad abhi hai rakh main koi sharar bhi

shayad abhi hai rakh main koi sharar bhi kyon varna intazar bhi hai iztirar bhi dhyan a gaya hai marg-e-dil-e-namurad ka milane ko mil gaya hai sukun bhi qarar bhi ab dhundhane chale ho musafar ko dosto hadd-e-nigah tak na raha jab gubar bhi har astan pe nasiyafarsa hain aj vo jo kal na kar sake the tera intazar bhi ik rah ruk gai to thithak kyon gai 'Ada' abad bastiyan hain paharon ke par bhe

Kal Chaudhvin Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera

Ibn-E-Insha Kal Chaudhvin Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera Kuch Ne Kaha Ye Chaand Hai Kuch Ne Kaha Chehra Tera Ham Bhi Wahin Maujood The Hamse Bhi Sab Poocha Kiye Ham Hans Diye Ham Chupp Rahe Manzoor Tha Parda Tera Is Sheher Mein Kis Se Milein Hamse Na Chooti Mehfilein Har Shaqs Tera Naam Le, Har Shaqs Deewaana Tera Tu Bewafa, Tu Meherbaan, Ham Aur Tujhse Badgumaan Hamne To Poocha Tha Zara, Yeh Wasf Kyon Thehera Tera Kooche Ko Tere Chhodkar Jogi Na Ban Jaayein Magar Jangal Tere, Parbat Tere, Basti Teri, Sehera Tera Ham Par Yeh Sakhti Ki Nazar, Ham Hain Faqeer-E-Rehguzar Rasta Kabhi Roka Tera, Daaman Kabhi Thaama Tera Haan Haan Teri Soorat Hansi Lekin To Aisa Bhi Nahin Us Shaqs Ke Ash’aar Se Shuhra Ho Kya Kya Tera Badard, Sun’ni Ho To Chal, Kehta Hai Kya Achhi Ghazal Aashiq Tera, Ruswa Tera, Shaayar Tera, ‘Insha’ Tera

Halaat Ke Qadmon Pe Qalandar Nahin Girta

Halaat Ke Qadmon Pe Qalandar Nahin Girta Toote Bhi Koi Taara To Zameen Pe Nahin Girta Girtey Hain Shaboh'rooz Samandar Mein Daryaa Lekin Kabhi Samandar Mein Daryaa Nahin Girta Mashkok nazar se mujay takti han ye darti, keaue arsh muALLAH mre sir par nahi girta, inam ki lalach main leki madha kisi ki, itna to khabi koyi sukhan war nhi girta, es banda khuddar pe nabyon ka hy saya, jo bhook main bhi luqma e tar par nhi girta, qayam hai qateel ab ye mere sir ke saton par, Bonchal bhi aye to mera ghar nahi girta

woh shakhs ke main jisse mohabbat nahin karta

woh shakhs ke main jisse mohabbat nahin karta hansta hai mujhe dekh ke, nafrat nahin karta ghar walon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain choron ko magar koi malamat nahin karta daite hain ujaale mere sajdon ki gawahi main chhup ke andheron men ibadat nahin karta bhoola nahin main aaj bhi adaab-e-jawani main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta dunya men Qateel, us sa munafiq nahin koi

Yaad rakhna or phir bhula dena

Yaad rakhna or phir bhula dena, Us ki aadat hai youn saza dena,, Apni muhabat mein zara saadgi dekho, Jo chor jaye us ko bhi dua dena, Wo kehta hai mohabat mein kuch faasla rahay, Hum chahtay hain apna sub kuch luta dena 1 guzarish hai agr maan jao to Wafa k badle hamesha wafa dena...

Phir aaj koi ghazal tere naam na ho jaye

Phir aaj koi ghazal tere naam na ho jaye, Aaj kahin likhte likhte shaam na ho jaye, ker raha hon intezar tere izhar-e-mohabbat ka, Isi intezar mei zindagi tamam na ho jaye, ab to nahi leta tera naam sar-e-aam is darr say, kahin naam tera badnaam na ho jaye, Mangta hoon dua jab tu yaad aata hay, K judair meray pyar ka anjaam na ho jaye.!

Yaqeen Aata Nahi Dil Ko k aiesa ho Bhi Skata hai

Yaqeen Aata Nahi Dil Ko k aiesa ho Bhi Skata hai Humara Haal-e-Ghum Sun kar woh Zaalim ro bhi Sakta Hai Kabhi insaan Akela ho k bhi Tanha Nahi Hota Sarr-e-Mehfil kabhi Beathay Bithaaye Kho bhi Sakta Hai Ta’ajjub kyun Hai Tum ko Humari Be-Gunaahi Pr Karam ka Aik Qatra Daagh-e-Daaman Dho bhi Sakta Hai Kabhi insaan ko Neend Atai Nahi Phooloun k bister Pr Kabhi Pathar pe Sarr Rakhh kr Mazay Se So bhi Sakta Hai Woh kehtay Hain Teri khaatir Sitaaray Torr Laingay Ba-zaahir Youn Nahi Hota Magar youn Ho bhi Sakta hai…

Daita, raha faraib koi saadgi k sath

Daita, raha faraib koi saadgi k sath Daita, raha faraib koi saadgi k sath. Itna, bara mazaak meri zindagi k saath. Shayad, mili saza es jurm ki mujhay. K, tha mujhay pyaar ek ajnabi k saath. Wo, zehar bhi dety rhy dawa ki trha, Itna, bura slook meri sadgi k sath, Apna, smjh k jis k liye ham ujr gay, Kal, sham ja rha tha kisi ajnbi k sath

Bichde Hue Logon Ki Sadayen Rula Deti Hai

Bichde Hue Logon Ki Sadayen Rula Deti Hai Kuch Parda Nasheeno Ki Adayen Rula Deti Hai Kisi ko Raas Aa Jaati Hai Baddua Doston Aur Kisi Ko Apno Ki Duaen Rula Deti Hai Woh Shaakh Se Toote Hue Badnaseeb Patte Jinhe Har Mausam Mein Hawaein Rula Deti Hai Kisi Ko Dosh Na Do Uski Bewafai Ka Chahne Walon Ko Apni Hatheli Rula Deti Hai Hazar Gham Sehkar Bhi Khud Rehti Hai Kaheen Aise Wafa Shaar Logon Ko Wafayen Rula Deti Hai

Main Logon Se Mulaqaton Ke Lamhe Yaad Rakhta Hon

Main Logon Se Mulaqaton Ke Lamhe Yaad Rakhta Hon, Main Batain Bhool B Jaon To Lehjay Yaad Rakhta Hon, Sar-E-Mehfil Nigahain Mujpe Jin Logo Ki Parti Hain, Nigahon K Hawaly Se Wo Chehry Yaad Rakhta Hon, Zara Sa Hatt K Chalta Hon Zamany Ki Riwayat Se, K Jinpe Bojh Main Dalon Wo Kandhy Yaad Rakhta Hon, Dosti Jis Se Ki Us Say Nibhaon Ga Jee Jaan Se, K Main Dosti K Hawaly Se Rishtay Yaad Rakhta Hon…..

Kabhi ulfat bhara lehja kabi utra huwa chehra

Kabhi ulfat bhara lehja kabi utra huwa chehra Samajh mai kuch nahi aata bta mera gunah kya hai? Meri uljhan mita to dey mujhe itna bta to dey, Mai mujrim hun ya mehram hun,Saza kya hai, Jaza kya hai? Meri sansein to chalti hain teri yaadon se ay dost, Nahi fursat jo ye sochun fana kya hai baqa kya hai? Mera ye dil meri dharkan meri sansein ye jaa’n ghafil Ye sub kuch naam tere hy bta pichay bacha kya hai?
Tu Hawa K Hath Pe Chahton K Diya Jalane Ki Zid Na Kr Ye Udas Logon K SHehar He,Yahan Muskrane Ki Zid Na Kr Main hon doston ka dassa hua mera gham hai had say barha huwa, Me Shikasta Ghar Ki Misal Hon,Mere Pas Ane Ki Zid N Kr Me Teri Gazal To Nhe Hon Jo Har Ek K Lab Pe Saja Rahon Me To Ek Misra'ay Dard Hon Mujhe Gunguna'ne Ki Zid Na kr U Hi Roshni Ki Talab Me Tu Mery Dil Ko Na De Aziyaten Jo Ksi K Hijar Me Jal BujHa,Usy Phir Jalane Ki Zid Na Kr Abhi lout ja, abhi waqt hai,abhi jaanbaqi hai jism mein, tujhey elam hai main kuch nahi,mujhay aazmany ki zid na kar  

Usey apni zid ki fikar thi

Usey apni zid ki fikar thi Mujhe apni anaa ka khayal tha Na mil sakey hum phir kabhi Wo hamari mohabbaton ka zawal tha Mere liye us ka sath he sab kuch tha Us ke liye ye sab mazaaq tha Usey bas apni manzilon ki fikar thi Yahan meri zindagi ka sawaal tha..

Tum Ne Poocha Hai ke Dukh kiya Hota Hai

Tum Ne Poocha Hai ke Dukh kiya Hota Hai To Suno Aisa Karna Kabhi kisi ko Chahna aur Chahate Hi Rehna... Din Bher uss ko Sochte hi Rehna.... Apne Haath ki Lakeeron mein uss ka Naam Tarashte hi Rehna... aur Jab kabhi Wo, in Riyazaton ka Hisaab Mangne ke Liey, samne aaey to ....... Tum "ANAA" ka Hath Thaam Lena. Ager Wo kuch kahey to, Muskura ker Anjaan Ban Jana. Aur Jab Wo Mayoos Ho ker Laut Jaey to... Apne Ander Jhankna, aur, Khud se Poochna .... Tab Tumhara Dil Tumhain Bataey ga, K.... Dukh kisko kehtey Hain. aur... Dukh kiya Hota Hai.